5 Things You Need to Learn for Your Next Level Growth in Hindi

Apni zindagi me agar aapko next level ki growth chahiye, to aap abhi jis tarike se apni zindagi ko jee rahe ho us tarike se aisa kar paana kafi impossible si chij hai. Kyuki hum me se jyadatar log apne samay ki value nahi karte aur ye sabse bura chij hota hai jo hame hamare growth se rok sakta hai. Aaiye jaante hai apne samay ki value karne ke aalawa wo aur kaun si 5 chije hain jisko hume aaj se hi sudharne par kaam karna chahiye. To chaliye padhte hain ‘5 Things You Need to Learn for Your Next Level Growth in Hindi’.

Learn English

I know hum me se bohot se logon ko aache se English nahi samajh me aati hogi. Isme tension lene ki koi baat nahi hai. Aap english films, english podcasts, gaano ke lyrics jaisi chijo se apni english ko sudhar sakte ho.

Mere khyal se English sudharne ka sabse badhiya tarika hai- English wale podcasts caption on karke dekhna aur phone par PDF ya Epub format me books padhna. Phone par padhne se aap kisi bhi na samajh me aane wale words par click karke uska matlab jaan sakte ho.

Why English is important?

Internet me maujud saare contents me se English sabse jyada use kiya jaane wala bhasha (language) hai. 54.4% jo bhi internet par hai wo English me hai, 2nd number par 5.1% ke sath Spanish hai. Hamare Hindi ka number is list me sabse last me hai, sirf 0.1%.

top languages used on the internet

Read More About This Topic – Wikipedia

Ab aap samajh sakte hain ki English samajh me na aane par hum kitni saari books, articles, podcasts se sikhne jaisi chijo ko miss kar sakte hain.

English sikhne ka matlab ye nahi hai ki hume English me baat karna aana chahiye, iska matlab hai ki hum English me chijo ko samajh sake.

Learn to Eat Without Entertainment

Hum me se bohot saare logon ko khate waqt TV ya phone par kuch entertainment (Tarak Mehta Ka Ooltah Chashma) ki chijo ko dekhte hue khane ki aadat hai. Ek average insan ko khane ke liye kam-se-kam 20-30 min lagte hain.

Ab agar aap din me 4 meals lete ho to 1 1/2-2 ghanta har roj aap bekar kar rahe ho. Jis waqt ko aap koi podcasts ya interviews jaisi chijo ko dekhkar sahi use kar sakte the.

Kabhi-kabhi entertainment dekhte hue khane me koi dikkat nahi hai lakin hamesha nahi.

Read Books

Books and brain

Hum me se bohot se logon ko books padhna boring lag sakta hai. Lakin zindagi me aage badhne ke liye books kafi zyada important hai. Self improvement, future se related, biographies jaisi chijo par likhi gayi books se aap kaafi jyada kuch sikh sakte ho.

Why Book Reading is Important

  • Books padhna aapke self development ke liye kaafi jyada important hai, kyuki-Isse aap alag-alag logon ke sochne ke tarike ko samajh sakte ho.
  • Aapko apne zindagi ko lekar naya najariya (perspective) milta hai.
  • Self development books me bataye gaye tarike ko apne life me shamil karke khud ko aur behtar bana sakte ho. Aise aur bhi bohot saare fayde (benefits) hai kya kitab padhne ke.

“A reader lives a thousand lives before he dies. The man who never reads lives only one.

George R.R. Martin

Also Read – “52 Life Changing Lessons From ‘Think Like A Monk’ by Jay Shetty”

Listen Audiobooks and Podcasts

audiobooks

Hum log apna bohot sara time gaane sunne me bita dete hain, jis waqt ko hum audiobooks ya podcasts sunkar khud ko nayi chije sikha sakte the.

Aisa nahi hai ki aapko gaane sunna chodd dena chahiye lakin kam jaroor karna chahiye aur us waqt ko audiobooks aur podcasts sunne me dena chahiye, jisse hamari growth hogi.

Why are Audiobooks and Podcasts Important?

  • Iska sabse bada reason to ye hai ki aap aapne room ko saaf karte waqt, travel karte waqt sun sakte ho.
  • Aap sun kar knowledge le rahe ho, jisko samajhna thoda easy hota hai.

Learn to be Alone

alone men

Ye sunne me thoda ajeeb lag sakta hai lakin ye bhi ek jaroori chij hai. Hum aksar apne dosto ya family members se ghire (surrounded) hote hain. Lakin hume thode samay ke liye aakela bhi rehna chahiye jisse hum khud ko aur aache se samajh paate hain. Hum ye dekh pate hai ki- humne kal se aaj tak me kitni growth ki hai.

Isliye aapko thode samay ke liye aakela rehkar khud ko aur aache se jaanne ki koshish karni chahiye aur un tariko ke baare me sochna chahiye jisse aap khud ko aur aage badha sakte ho.

Must Read – ‘My Top Learnings from Think and Grow Rich in Hindi’

Conclusion

To ye the un dher saare tariko me se 5 tarike jisko karne se aap khud ka self development kar sakte ho aur apni zindagi me next level growth haasil (achieve) kar sakte ho.

Best YouTube Channels for Self-Improvement 

Is article ‘5 Things You Need to Learn for Your Next Level Growth in Hindi’ ko apne un dosto ke sath jaroor share karna jinko life me aage badhna ho.