Twitter and its new Logo in Hindi

Twitter jo ki ek micro blogging site hai jaha aap 280 characters me apni tweet kar sakte ho. Twitter social media ke field me kafi important position hold karta hai. Kyuki duniya ke lagbhag saare world leaders apni baat rakhne ke liye sabse pehle twitter ka hi use karte hai. Haal hi me Elon Musk owned Twitter ki rebranding kar usko ‘X Corp.’ aur uske logo ko badalkar “X” kar diya gaya. Waise ye pehli baar nahi hai jab twitter ke logo ko badla gaya hai. Hum aaj ke is article ‘Twitter and its new Logo in Hindi‘ me yahi jaanege ki kab-kab twitter ke logo ko badla gaya hai.

Introduction and Some Facts

  • Twitter ke logos ke baare me jaane se pehle aaiye iske baare me pehle kuch important facts jaan lete hain-
  • Twitter lo saal 2006 me launch kiya gaya tha aur iske founders Jack Dorsey, Noah Glass, Biz Stone aur Evan Williams hai.
  • Elon Musk ne 27 October, 2022 ko $44 billion (₹ 3,60,000 crore) me kharida tha.
  • Is waqt twitter ke chairman Elon Musk aur CEO ‘Linda Yaccarino’ hai.
  • 2023 me Twitter ke total active monthly users lagbhag 35-36 crore hai.
  • Twitter ke purane logo me jo blue bird thi uska naam ‘Larry the Bird’ hai.
  • Musk ne 4 April, 2023 ko thode samay ke liye twitter ka logo ‘Larry the Bird’ se change kar crypto currency ‘Dogecoin’ ka logo laga diya tha. Source
Twitter changed its logo to dogecoin
Credit- Twitter
  • 24 July, 2023 ko Elon Musk ne announce kiya ki twitter ab rebrand hokar ‘X Corp.’ ho gaya hai.

Twitter Logos

All twitter logos

Twitter User Reactions

Iske logo change hone ko lekar twitter users ne kafi majedaar reactions diye hai-

Must Read – Top 11 Funniest X Accounts

Final Words

To ye thi twitter aur uske logo se judi kuch baate. Personally mujhe twitter ka naya logo kafi pasand hai. Elon Musk ko shayad X character kuch jyada hi pasand hai kyuki unki space related company ka naam ‘SpaceX’ hai, Tesla ki sabse premium vehicles me se ek ka naam ‘Tesla Model X’ hai aur ab twitter ka logo bhi badalkar unhone X rakh diya hai. Is article ‘Twitter and its new Logo in Hindi’ ko apne dosto ke sath jaroor share kare.

Abhi thode samay pehle hi Meta/Facebook ne twitter ke rival ‘Threads‘ ko launch kiya hai.