Virat Kohli cricket me ek aisa naam jise har koi jaanta hai. Baat jab cricket se jude records ki hoti hai to aap inka naam baar-baar sunoge. Is amazing player se jude kayi chijo ko aap is article me jaanenge. Jaise- IPL se related facts, records, stardom, family aur bhi bohot kuch. To aaiye jaante hain Virat Kohli se jude kuch amazing facts is article ‘Virat Kohli Facts, Net-worth, Records and more in Hindi’.
Introduction
- Virat Kohli ka janm ‘5 November 1988’ Delhi, India me hua.
- Inki maa ka naam Saroj Kohli aur pita ka naam Prem Kohli hai.
- Kohli ne 11 December, 2017 me actress Anushka Sharma se Florence, Italy me shaadi ki aur 11 January, 2021 ko unki beti ‘Vamika’ ne janm liya.
Cricket
- August 2008 me Virat ne international debut ODI match jo ki Sri Lanka ke against tha usse kiya.
- Virat Kohli aise fastest player hain jinhone 8000, 9000, 10000 aur 11000 runs banaya hai ODI (One Day International) cricket me.
- Virat ne India ko kayi important matches me jeet dilai hai. Jaise- U-19 world cup 2008 me aur ICC Champions Trophy 2013 me. Kohli 2008 ke U-19 world cup me top 3 run scorers me se ek the. Aur 2013 ke ICC Champions Trophy me top 5 run scorers me se ek the.
- Kohli ‘One Day International’ me sabse tez century ka record bhi bana chuke hain. Unhone 52 balls me ye century banaya thi.
- India ka 2014 ‘Australia Tour’ Kohli ke career ka sabse kharab time tha. Is tour me Kohli ne 5 matches me sirf 134 runs banaya tha.
- Virat eklaute (only) aise player hain jinke saare formats me 50 ki average hai.
- Unke Indian Cricket me great contribution ke karan- Arjuna Award (2013), Padma Shri (2017), Major Dhyan Chand Khel Ratna Award (2018) jaise bohot prestigious (pratishthit) awards diye gaye hain.
Amazing Facts About Lucknow Super Giants in Hindi
Virat Kohli’s IPL Career
- Virat Kohli eklaute aise IPL player hain jinhone aaj tak ek hi franchise (Royal Challengers Bangalore) se IPL kheli hai.
- Kohli ne aaj tak IPL me 7,263 runs banaye hain.
- Virat Kohli ne 2008-23 tak ke saare IPL salary (sold Price) ko milakar ₹173 crore ki kamai ki hai.
Other Facts about Virat Kohli
- Kohli ko football bhi kaafi pasand hai. Unki ‘FC Goa’ (Football Club) me stake (hissedaari) bhi hai.
- Virat Kohli ke pita ki jab death hui tab Kohli Ranji Trophy khel rahe the. Aur wo itne bade tragedy ke bawajood bhi aakar 90 runs banaya. Is match ko khelne ke baad Kohli aapne pita ki ‘antim sanskar’ (funeral) me gaye. Jab Kohli ke sath ye sab hua tab wo sirf 18 saal ke the.
Virat Kohli’s fan following
Inke Instagram par fan following bohot jyada badi hai. Kohli ke profile par 254 million (25 crore 40 lakh) followers hain. Inka Instagram profile India ka sabse jada follow kiya jaane wala account hai aur world me iski ranking 16 hai.
Virat Kohli net worth
Virat Kohli ki net worth ₹1050 crore ($128 million) hai.
Aggressive Kohli
Virat Kohli ke field par aggression ke baare me to aap jaante hi honge. Unki kayi baar baaki players se behes hui hai. Jinme se Gautam Gambhir ke sath hui behes social media par bohot viral hui thi.
Kohli aur Gambhir pehle bhi aise behes kar chuke hain.
Must Read- Amazing Facts About Gujarat Titans in Hindi
Is article ‘Virat Kohli Facts, Net-Worth, Records and more in Hindi‘ ko aapne ‘Viratian’ dosto ke sath jaroor jaroor share kare.