Adipurush Honest Review in Hindi

Adipurush sirf ek film nahi, pure Bharat ki history ka ek chitra (Picture) hai. Prabhu Shri Ram se Bharat ke logo ki aastha judi hui hai aur Adipurush is bhavna ka samman rakh pati hai ya nahi aaiye jante hain – Adipurush Honest Review in Hindi ke is Article me.

MovieAdipurush
Budget₹500-700 crores
Collection ₹392 crores Worldwide
CastPrabhas, Kriti Sanon, Devdatta Nage, Saif Ali Khan, Sunny Singh
Release Date16 JUne 2023

Adipurush Box Office Collection

₹392 crores Worldwide

Prabhu Shri Ram (Raghav)

Aaiye sabse pehle baat hamare Shri Ram ke role ke baare me karte hain (Movie me Shri Ram ko Raghav ke naam se pukara jata hai). Is film ko dekhkar aapko kayi jagaho par aisa lagega ki Prabhas ne Shri Ram ke role ko aache se nahi nibhaya hai. Iska karan below average VFX (Visual Effects) bhi hai. Unka character kayi jagaho par aisa lag raha hai jaise AI (Artificial Intelligence) generated ho. Hame Prabhu Ram ko shant (calm) roop me dekhne ki aadat hai. Lakin kayi jagaho par unko kaafi agressive dikhaya gaya hai, jo bohot jyada justifiable nahi lagta.

Mata Sita (Janaki)

Kriti Senon ne is role ko kaafi aache aur natural acting ke sath kiya hai. Unka screen time bhale hi kam ho lakin jab-jab wo aati hain, aapko unki acting pasand aayegi.

Shri Lakshmana

Sunny Singh (Shri Lakshmana), jaisa ki inko pure trailer me ignore kiya gaya hai waise hi pure film me bhi. Film makers Shri Ram ke chote bhai ko film me is tarah kam screen time kaise de sakte hain?

Hanuman ji (Bajrang)

Kabhi aapne Hanuman ji ko bina bade aur takatwar shareer (body) ke imagine kiya hai? Agar nahi to aapko imagine karne ki jaroorat nahi. Aapko ye chij bade parde par dekne ko mil jayegi. Hanuman ji ka shareer is film me prabhu Ram se bhi chota dikhaya gaya hai. Halaki Hanuman ji ka character nibhane wale actor ‘Devdatta Nage’ ne is film me bohot aachi acting ki hai, inki acting ko aap enjoy karenge.

Ravana (Lankesh)

Is character ke bare me kya bola jaye samajh me nai aa raha. Ek baat note karne wali hai ki aap chahe kitni bhi inke (Saif Ali Khan) film ke looks ki burai kare lakin is film ko dekhne ke baad aap inke acting ki utni hi tareef karenge. Inke spikes wale look ko dekhkar aap shayad inse relate na kar paye lakin inki acting is kami ko pura kar deti hai.

VFX (Visual Effects)

Ab aate hain is movie ke sabse badi kami pe jo ki hai VFX. Is film ka VFX kahi se bhi iske ₹500 crores ke budget ko justify nahi karta. Aapko lagega hi nahi ki ye film ₹500 – 700 crores ke itne bade budget par bani hai. Thode time pehle ‘Brahmastra’ naam ki film aayi thi jiska budget Adipurush se kam hone ke baad bhi VFX (Visual Effects) kafi behtar tha.

Background Music

Adipurush ka VFX jitna ‘Below average’ hai, is movie ka background music aur songs utna hi aacha aur behtareen hai. Aap is film ke music se nirash (disappoint) nahi honge. Kayi scenes ke music par aapke rongte (goosebumps) khade ho jayenge aur song- Jai Shri Ram par aap khud ko jhoomne se nahi rok payenge.

Dialogues

  • Is film ke dialogues ki baat ki jaye to wo aachi hai lakin kuch-kuch jagaho par aapko thode offensive lag sakti hai.
  • Jis samay ko ye film darsha rahi hai us waqt hamare is dharti ko ‘Bharat’ nahi ‘Jambudvīpa’ ke naam se pukara jaata tha. Lakin movie ke dialogues me ‘Bharat’ kehkar bola jaa raha hai.

Everything about Sushant Singh Rajput in Hindi

Some Movie Scenes

Personally mujhe kuch scenes is film me aache nahi lage-

  • Mata Sita ko Ravana (Lankesh) jis tarah se le jata hai is scene ko thoda aur respectful tarike se dikhaya ja sakta tha.
mata sita
credit- Adipurush

Everything about ChatGPT in Hindi

  • Ravana jab mata Sita ko dhokhe se le jaane aata hai us waqt wo chamgadar (bat) par mata Sita ko le jata hai. Lakin hamlog bachpan se sunte aa rahe hain ki us samay me dur yatra (journey) karne ke liye ‘Pushpaka Vimana’ ka use hota tha.
  • Jab prabhu Ram ki sena Ravana se ladne jaati hai us waqt sena me maujood Vanaro (monkeys) aur dusre janwaron ka VFX bohot hi below average lagta hai.
adipurush vfx
credit- Adipurush
  • Jaisa ki ham sab jante hain Lanka sone ka tha lakin film me aisa kuch bhi nahi lag raha.

Adipurush ka matlab

Adipurush do shabd Adi aur Purush se milkar banta hai. Jiska matlab hai- Sabse pehla purush.

Final Opinion

adipurush
credit- Adipurush
  • Is film ko dekhna chahiye ya nahi? Iska jawab to aapke pasand par nirbhar karta hai. Lakin mere according (anusar) is film ko ek baar jaroor dekhna chahiye. Kyuki hamare itne purane itihas (history) aur shri Ram ki film hai. Is film ko Gen G aur Gen Alpha matlab 15-20 saal wale log jyada pasand karenge. Jinko Ramanand Sagar wali Ramayan boring lagenge.
  • Ye film jitna Gen G aur Gen Alpha ko pasand aayega utne hi Millennials aur Gen X yani hamare mata-pita aur unke mata-pita ko shayad na pasand aaye. Kyuki unhone is tarah kabhi prabhu Ram, mata Sita aur Ravana ko imagine nahi kiya hoga.

Is film ke makers ke is Interview ko dekh kar aap unke najariye ko samajh sakte hain.