Lucknow Super Giants ek aisi team jisne apni pahli hi season me top 3 me apni jagah bana li thi. Is Team ke Captain KL Rahul hai jinki Captaincy ke under hi is team ne apne pahle season me hi itna aacha Perform kiya kiya tha. To aaiye jante hain Lucknow Super Giants ke bare me kuch aise Facts jo aapko jarur janne chahiye.
Lucknow Super Giants
Lucknow Super Giants is team ko 25 october 2021 ko Found kiya gaya tha. Aur jaisa ki iske naam se hi clear hai ye team Lucknow, Utter Pradesh based hai. Is Team ke Captain- Batsman, Wicket Keeper KL Rahul hai aur is team ke Coach and ‘Andy Flower’ hai. Mentor ki baat ki jaaye to is team ke Mentor Gautam Gambhir hain.
Sabse Mehngi IPL Team
Lucknow Super Giants ab tak ki sabse mahangi IPL Team hai. Is team ko Sanjiv Goenka owned company RPSG ne ₹7090 Crore me kharida aur ye vahi company hai jo ‘Rising Pune Supergiant’ IPL team ki malik thi.
Lucknow Super Giants Ka Naam
Is team ke naam ke piche bhi kafi aachi Story hai. RPSG company ne jab is team ke bid ko jita uske 1 ghante baad hi Delhi ka ek 8 saal ki ladke ne Sanjiv Goenka jii ko message kar kaha tha ki is team ka naam ‘Lucknow Super Giants’ hona chahiye.
Is team ne apne naam ko choose karne ke liye Social Media per ek contest rakha tha jis me Lucknow Super Giants naam famous hone laga. Tab use ladke ne fir se Sanjiv jii tag karke likha ki agar aap logon ne is team ka naam “Lucknow Super Giants” rakha to ye mat bhuliyega ki mai first tha jisne aapko ye naam sujhaya tha.
LSG Logo vs RPS Logo
Aisa kaha jata hai ki Lucknow Super Giants ka logo Rising Pune Supergiant ke logo ka copy hai. Lekin mere khyal se ye copy nahi Rising Pune Supergiant ke logo se inspired hai.
Aur agar aapko ye Artical pasand aaye to aap Amazing Facts About Gujarat Titans ko bhi padh sakte hain.
Home Ground
Lucknow Super Giants ka home ground BRSABV (Bharat Ratna Shri Atal Bihari Vajpayee) Ekana Cricket Stadium hai jiski sitting capacity 50000 ki hai.
Most Expensive Players 2023
Aaiye dekhte hai Lucknow Super Giants ke Top 5 Most Exoensive Players ke baare me-
Players | Role | Price |
KL Rahul (Captain) | Batsman | 15 crore |
Marcus Stoinis | All-Rounder | 11 crore |
Avesh Khan | Bowler | 10 crore |
Krunal Pandya | All-Rounder | 8.25 crore |
Mark Wood | Bowler | 7.5 crore |
Team Administration
Aaiye jante hain Team ko sambhalne wale aur unke Role ke bare me-
CEO | Vinod Bisht |
Team Manager | Avinash Vaidya |
Team Mentor | Gautam Gambhir |
Head Coach | Andy Flower |
Assistant Coach | Vijay Dahiya |
Spin Bowling Coach | Pravin Tambe |
Fast Bowling Coach | Morne Morkel |
Fielding Coach | Jonty Rhodes |
Physiotherapist | James Pipe |
Strength and Conditioning Coach | Warren Andrews |
To ye the Lucknow Super Giants ke kuch Amazing Facts. Aur aapko ye Article pasand aaya to ise aapne dosto ke sath jaroor share kare aur Amazing Facts About Gujarat Titans in Hindi jaroor padhe.