Box Office King: Top 5 Most Profitable Christopher Nolan Films

Christopher Edward Nolan film making me bohot hi bada naam hai. Aap film ke shaukeen ho ya na ho lakin aapne inke ya inki films ke baare me jaroor suna hoga. Ye apni films se audience ka dimag chakkar me dal dene ke liye jaane jaate hai. ‘Inception aur Interstellar’ in films ki jitni tarif ki jaaye kam hai. In films ka concept itna complex (jatil) tha ki bohot se logo ko ek baar dekhne par film samajh bhi nahi aaya tha (I’m one of them). Nolan ki haal hi me nayi film ‘Oppenheimer’ release hui. To aaiye jaante hai is great film director ki wo 5 films jisne sabse jyada kamai ki hai, aaj ke is article ‘Box Office King: Top 5 Most Profitable Christopher Nolan Films’ me.

NameChristopher Edward Nolan
Birth30 July 1970, London
ParentsBrendon Nolan (father), Cristina Nolan (mother)
CitizenshipUK, US
WifeEmma Thomas
Children(4) Flora, Oliver, Magnus, Rory Nolan
SiblingsJonathan, Matthew Nolan
Debut FilmFollowing (1998)
Total Box Office Collection$5.4 Billion (₹44,000 crore)

Introduction

Christopher Edward Nolan ka janm 30 July, 1970 ko London, UK me hua . Inke father ‘Brendon Nolan’ British advertising executive, creative director the. Inki mother ‘Cristina Nolan’ flight attendant thi.

Christopher Nolan ek British aur American film maker hai, jo ki apne complex (jatil) films ke karan jaane jaate hai. Inki films duniya bhar me lagbhag $5.4 Billion (₹44,000 crore) ki kamai kar chuki hai.

University College London se English literature me padhai karne ke baad Nolan ne kayi saari short films banai aur inki debut film ‘Following’ (1998) hai.

Nolan ke bade bhai Matthew aur chote bhai Jonathan Nolan bhi film makers hai.

Awards and Recognitions

  • 5 Academy Awards Nominations.
  • 6 Golden Globe Nominations.
  • 5 British Academy Film Awards Nominations.
  • 2 Won and 7 People’s Choice Awards Nominations.

Christopher Edward Nolan abhi tak total 532 award nominations aur 192 awards jeet chuke hai.

5. Dunkirk

Ye film ki kahani WW II ke samay ki hai. Is film me bohot hi aachi cinematography, storytelling aur music ke sath British aur Allied soldiers ke rescue ka mission dikhaya gaya hai.

Budget – $100-150 Million (₹820-1228 crore), Box Office – $527 Million (₹4,317 crore)

4. Interstellar

Interstellar ek sci-fi film hai. Jisme astronauts ki ek team Warmhole ke through insan ke rehne layak naye planets ko dhundhne nikalti hai. Is film me ‘Time dilation’ aur space ki kayi complex chijo ko dikhaya gaya hai.

Budget – $165 Million (₹1350 crore), Box Office – $773 Million (₹6,332 crore)

3. Inception

Is film me dikhaya gaya hai ki ek skilled thief (chor) dusro ke sapno me jaakar unke secrets churane aur unke dimag me naye ideas daalne ki koshish karta hai. Is mission ko karte waqt unki team sapno ke kayi layers me jaati hai.

Budget – $160 Million (₹1310 crore), Box Office – $836 Million (₹6,848 crore)

2. The Dark Knight

Film me Batman ko Joker jaise sanki aur khatarnak villain se samna karte hue darshaya gaya hai aur is waqt Gotham City ki halat kafi kharab hoti hai.

Budget – $185 Million (₹1,515 crore), Box Office – $1 Billion (₹8,200 crore)

1. The Dark Knight Rises – 2012

Film me Batman phirse apne Gotham City ko ‘Bane’ naam ke khatarnak villain se bachane ke liye wapas aata hai.

Budget – $250 Million (₹2047 crore), Box Office – $1.08 Billion (₹8,843 crore)

Final Words

Christopher Nolan ek aise film director hai jinki films aap dekhne jaoge to aap apne dimag me dher sari chije lekar nikloge, aapke man me kayi sawal aur bohot saari aisi chije hongi jo aapko kayi dino tak us film ke baare me sochte rehne par majboor kar degi. Is article ‘Box Office King: Top 5 Most Profitable Christopher Nolan Films’ ko apne aise friends aur family members ke sath jaroor share kare jinko is tarah ki dimag ghuma dene wali films dekhna pasand ho.

Ye the Christopher Edward Nolan ki ab tak ki 5 sabse jyada kamai karne wali films. Haal hi me nolan ki nayi film ‘Oppenheimer‘ jo ki Father of Atomic Bomb – Julius Robert Oppenheimer par likhi gayi book “American Prometheus” par based hai release hui hai. Kya ye film Nolan ki top 5 kamai karne wali films me shamil ho payegi? Dekhte hai.