First Images of Moon clicked by Chandrayaan-3

Chandrayaan-3 mission ISRO (Indian Space Research Organisation) ke sabse important missions me se ek hai. Is moon craft ko 14 July, 2023 ko LVM 3 (Light Vehicle Machine) ke dwara launch kiya gaya tha. To aaiye dekhte hai Chandrayaan-3 ke dwara bheji hui moon surface ki kuch chauka dene wali photos. Aapne isse pehle moon ki itni shaandar photos nahi dekhi hogi.

First Photos of Moon clicked by Chandrayaan-3

Moon Surface photos by chandrayaan -3
Moon Surface images by chandrayaan -3
Moon image by chandrayaan
Moon Surface images by chandrayaan -3

I’m sure aapne chand ke surface ki itni jyada khoobsurat aur clear photos nahi dekhi hogi.

Must Read – Everything about Chandrayaan-3 in Hindi

From Bicycle to Moon

Ek photo ki help se agar success ko explain karna ho to ye photo sabse satik (accurate) photos me se ek hogi. ISRO ke shuruaati dino me is organisation ka budget itna kam hua karta tha ki scientists ko rockets bicycle aur bail-gaadi me idhar-udhar le jaana padta tha.

isro carrying a rocket on bicycle

Ek tab ka din tha, aur ek aaj ka din hai. ISRO ab apne missions chand par kar raha hai. Isse pehle ye space organisation Mangal (Mars) par bhi ek successful mission kar chuka hai aur aage ke plans to aur bhi jyada bade hai. Un missions ke baare me aage baat ki gayi hai.

Must Read – Chandrayaan-3 Mission: Historic Day for India

Future Missions of ISRO

Chandrayaan-3 mission to ISRO ki bas shuruwat hai. ISRO ke aane wale plans jaankar aapks hosh ud jaayenge. Aane wale kuch saalo me ISRO bohot se bade-bade missions launch karne ki tayyari me hai. Jaise-

  • Aditya-L1 – Solar Observation.
  • X-ray Polarimeter Satellite – Space Observatory.
  • Gaganyaan 1 – Uncrewed spacecraft flight test.
  • Gaganyaan 2 – Uncrewed spacecraft flight test.
  • Shukrayaan-1 – Venus Orbiter.
  • Gaganyaan 3 – Crewed Spacecraft.

In sabke aalawa bhi aur kayi missions hai jo ki ISRO aane wale samay me karne wala hai.

Final Words

Aap ISRO aur unki team ke baare me jitna kuch jaanoge utna hi unpar garv hoga. ISRO ka budget American space agency NASA ke budget se kayi guna kam hai lakin apne kam budget ke bawajood unhone apne pehli koshish me hi Mangal (Mars) par successful landing kiya aur aisa karne wala India eklauta desh hai.


Posted

in

by

Tags: