ChatGpt (Generative Pre-trained Transformer) ek aisi revolutionary chij jiske bare me aaj har koi baat kar raha hai. Koi iske support me hai to koi isko ye kehkar galat bata raha hai ki iske karan bohot se jobs (Naukri) khatre me aa jayenge. To aaiye jante hai is amazing AI (Artificial Intelligence) tool ChatGPT ke bare me wo bhi Hindi me.
What is ChatGPT?
- ChatGPT (Generative Pre-trained Transformer) ko agar simple bhasha me samjhe to ye ek chatbot hai. Chatbot ko aap aise samajh sakte hain – Iska matlab hai ki aap kisi AI (Artificial Intelligence) machine se chat ke jariye baat kar rahe hain aur wo aapki baato ya questions ko samajhkar uska answer de raha hai.
- ChatGPT ko 30, November 2022 ko launch kiya gaya tha.
- Isko 1 Million (10 lakh) users launch ke sirf 5 din me hi mil gaye the.
- ChatGPT ke sirf 2 mahine me 100 Million (10 crore) users ho gaye the. Jo ki aaj tak ke social media me sabse tez hai.
- OpenAI jo ki ChatGPT ki parent company hai wo is per saal- 2018 se hi kaam kar rahi thi.
OpenAI
- December 2015, OpenAI ke CEO Sam Altman ke sath Elon Musk, aur bhi kai business person aur investors ne OpenAI company ki shuruwat ki thi. Lakin saal 2018 me Elon Musk ne company is baat ke karan chor di kyuki dusre founders Musk ko company lead karne nahi dena chahte the.
- OpenAI ki valuation 2023 me $27-$29 Billion hai.
- Microsoft ne OpenAI me saal 2019 me $1 Billion aur 2023 me $10 Billion invest karne wali hai.
- 14 March 2023, OpenAI ne ChatGPT 4 launch kiya tha jo ki ChatGPT 3.5 (free) ka aur bhi jyada advance version hai. Lakin GPT 4 ko use karne ke liye aapko har mahine $20 (₹1650) kharch karna padega.
Top 9 Instagram Pages for Self-help in Hindi
ChatGPT kya-kya kar sakta hai?
- ChatGpt aapke kisi bhi practical sawal (jo ki legal ho) ka jawab de sakta hai.
- Ye aapke prompt ke anusar Songs, Poem, Essay, Rap, Articles likh sakta hai aur ye saari chije ChatGPT aapko Hindi me bhi kar ke de sakta hai. (Prompt- ChatGpt par kuch karne ke liye likhe jane wale sentence ya words ko prompt kehte hain.)
- ChatGpt aapke prompt ke anusar coding bhi likh sakta hai.
Is tool ko aur kis-kis chij ke liye use kar sakte hain, janne ke liye ye YouTube video dekhe.
ChatGPT and Exams
Ye itna advance AI hai ki iske Google Interview, US ke Medical Licensing exam, MBA ke exam aur bhi kai tarah ke exam ko pass kar liya. Lakin India ke UPSC Civil Services ko pass nahi kar paya.
Disadvantages of ChatGPT
- ChatGPT bohot smart aur capable hai lakin reliable nahi kyuki ispe September 2021 tak ka hi information hai.
- Ispe kai baar ye aarop lage hain ki ye bohot sari chijo ko lekar biased hai ya bhed-bhaw karta hai. Jaise- Ek research me paya gaya ki jab ChatGPT se American president Joe Biden par poem likhne ke liye kaha gaya to isne likh diya. Lakin Ex President Trump ke liye isne likhne se mana kar diya.
- ChatGPT ke CEO Sam Altman ne ek interview me ye mana tha ki GPT kabhi-kabhi galat information de sakta hai.
Is chij ko aur aache se samjhne ke liye is YouTube video ko dekhe.
Google’s Bard
Microsoft backed ChatGPT ke badhte craze ko dekhte hue 21 March 2023 ko Google ne aapna AI chatbot “Bard” launch kiya. Lakin Bard ke ek user ne ye share kiya ki Bard ne galat answer diya hai jo kaafi famous hua.
Jaisa ki aap is photo me dekh sakte hai Bard ne iska answer galat diya hai. Aur is news ke failte hi Google ki parent company Alphabet ko $100 Billion ka nuksan hua hai.
AI se generated ekdum real lagne wale images.
ChatGPT ko bypass karna
ChatGPT me kai sari aise chije hai jo ki kisi user ke liye encrypted hai. Lakin thode samay pehle aisi news aayi thi jisme ye bataya gaya tha ki- ‘DAN’ (jiska matlab hai- Do Anything Now) is prompt ko dalne se ChatGPT se kai secret aur banned chijo ki jankari bhi mil sakti hai. (Aur ye karna illegal hai)
Sam Altman controversy
7 June 2023, Sam Altman ke dwara India me diye gaye ek interview ko lekar controversy ho gayi. Jiska karan ek question ka answer tha. Aap is video me dekh sakte hain.
Is incident ko lekar Sam Altman ne aapne side ko bhi rakha
FAQs
Sam Altman.
Sam Altman, Elon Musk, Ilya Sutskevar, Greg Brockman, Trevor Blackwell, Vicki Cheung, Andrej Karpathy, Durk Kingma, Jessica Livingston, John Schulman, Pamela Vageta and Wojciech Zaremba.
30, November 2022.
To ye thi wo saari amazing chije jo aapko ChatGPT ke baare me pata honi chahiye. Is article “ChatGPT in hindi” ko aapne friends ke sath jaroor share kare taki wo bhi is revolutionary chij ke baare me jan sake.