US president Joe Biden ke invitation par 1st state visit par PM Narendra Modi 20 june, 2023 ko New York pahuche. Jaha unka bohot bada welcome diya gaya. To aaiye jaante hain ‘Important Highlights of PM Modi’s Official State visit to US 2023 in Hindi’.
State visit kya hai? What is State visit?
PM Modi 1st time USA Official State visit par gaye hain. Ab aapke man me question aa raha hoga ki PM Modi to pehle bhi US jaa chuke hain to ye visit 1st time kaise hua? Aaiye is chij ko samajhte hain.
- State visit hamesha America ke president dwara diye gaye invitation par hi hoti hai.
- Official state visit ko kisi neta (politician) ya insan ke visit ki tarah nahi, ek desh ke visit ki tarah dekha jata hai.
- Is visit par aaye hue guest ‘PM Modi’ ki US president ke guest house ‘Blair House, Washington DC’ me hi rehne ki vyawastha (arrangements) ki jayegi.
- Is official state visit par guest ‘PM Modi’ ko US ke dwara official welcome, official lunch ya dinner par invite kiya jata hai.
- US me videshi (foreign) guests dwara kiye gaye visits me highest-ranked category hoti hai ‘State Visits’ ki.
- US total 4 categories me kisi country ke leader ki visit ko acknowledge (dekhta) karta hai. 1st- Official visit, 2nd- Official working visit, 3rd- Working visit, 4th- Private visit
- Joe Biden ke under sirf 2 foreign leaders ko official state visit par invite kiya gaya hai. 1st- France’s president ‘Emmanuel Macron’, 2nd- South Korea’s president ‘Yoon Suk Yeo’. Official state visit ka invitation ye dikhata hai ki US ie liye wo country bohot important friend ya Ally hai.
Defination of ally-
- State visit me ek sabse important chij ye bhi hoti hai ki- guest leader ko ’21 bandooko ki salami (21-gun salute)’ bhi di jati hai. PM Modi ko bhi ye honour (samman) mila hai.
Official State Visit of Other Indian Leaders
PM Modi se pehle sirf 2 Indian leaders ko Official State Visit par invite kiya gaya tha. 1st- President S Radhakrishnan (june 1963), 2nd- PM Manmohan Singh (november 2009).
Artemis Accords
- Is accord ke ho jaane se ab ISRO (Indian Space Research Organisation) aur NASA sath me ISS (International Space Station) me 2024 ko ek mission launch karenge.
- Artemis Accords is naam ke piche bhi kafi aachi story hai. Jaisa ki ham sabko pata hai ki NASA (National Aeronautics and Space Administration) ‘Apollo’ naam se kayi space missions kar chuka hai. Aur isi raaste par chalte hue NASA aur bhi Moon se related space missions karna chahta hai. Apollo aur Artemis ‘Greek’ ke judwa “devi-devta” the.
- Artemis Accords non-binding hai. Jiska matlab hai ki agar India chahe to future me is accord se khud ko bahar bhi kar sakta hai bina kisi rok-tok ke.
- Artemis Accords me abhi total 27 Countries hain (including India and US). US ke lead pe ye group 2025 tak Moon (chand) pe phir se Humans (insan) ko bhejna chahte hain.
PM Modi and Yoga
- PM Modi ne 9th International Day of Yoga UN (United Nations) ke headquarters me bohot saare logon ke sath yoga karke manaya.
- Is Yoga celebration ne ek Guinness World record bhi banaya. Jo ki sabse jyada Nationalities wale logon ke dwara ek sath Yoga karne ko lekar tha.
Unknown Facts about Yoga in Hindi
PM Modi, CEOs and High Profile Individuals
- PM Modi is State visit par US ke kayi bade Companies ke CEOs se mile. Jaise ki- CEO of Micron Technology ‘Sanjay Mehrotra’, CEO of Applied Materials ‘Gary E Dickerson’ aur CEO of General Electric ‘H Lawrence Culp’.
- Isse pehle PM Modi Tesla ke CEO Elon Musk se mile aur Tesla ke India me investment ko lekar discuss kiya. Is meeting ke baad Musk ne India aur PM Modi ke baare me bohot aachi aachi baate kahi. Aur unhone ye bhi kaha ki wo PM Modi ke fan hain.
PM Narendra Modi – Neil deGrasse Tyson (Astrophysicist)
No Lecture to India
- Ham sabne US ke Think tanks aur Thinkers se kayi baar aise reports aate hain ki India me Human Rights aachi nahi hai, Minorities (jinka population India me kam hai) par aatyachar (atrocity) hoti hai. Isi se related press ne White House ke representative se question kiya ki Biden kya PM Modi se is baare me kuch baat karege? Iske jawab me representative ne kaha- Human Rights ko lekar Biden PM Modi ko koi lecture nahi denge.
- White House ke press conference me reporter dwara puch gaye Human Rights aur Minorities ke sawal par PM Modi ne ye answer diya.
PM Modi’s Gift to US first lady ‘Jill Biden’ and President ‘Joe Biden’
- US ki first lady (US president ki wife) ‘Jill Biden’ ko PM Modi ne bohot sundar gift diya hai- ‘Lab Grown 7.5 carat Green Diamond’ jo ki Made in India diamond hai.
Lab Grown diamond kya hai? Isko samajhne ke liye is Article ko padhe.
- President Biden ko PM Modi ne Sandlewood box me- Chandi ke bhagwan Ganesh ki pratima (Silver Idol of Lord Ganesh), Diya (oil lamp) aur Das Danam gift kiya hai. (Das Danam us donation ko dikhata hai jab koi insan ‘Drishta Sahasrachandro’ ban jata hai. Jiska matlab hai ki jisne 80 saal 8 mahine ke umra me 1000 baar ‘Full Moons’ (purna chandrama) ko dekha hai.
PM Modi Addressed US Congress
- PM Modi ne aapne is official state visit me 22 june ko US Congress ko address (speech) kiya. Isse pehle unhone June 2016 me bhi US Congress ko address kiya tha.
- PM Modi aise 1st Indian PM ban gaye hain jinhone 2 baar US Congress ko address kiya hai.
- PM Narendra Modi duniya ke un kuch gine-chune leaders me se hain jinko 2 baar US Congress ko address karne ka invitation mila hai.
US Congress me kiye gaye address ka complete video.
- Isse pehle bohot hi kam leaders ko ye mauka mila hai jisme koi leader US Congress ko 2 ya 2 se jyada baar address kiya ho. Jinme – former British PM ‘Winston Churchill’ 3 baar (1941, 43, 52), former President of South Africa ‘Nelson Mandela’ 2 baar (1990, 94), Israeli PM ‘Benjamin Netanyahu’ 3 baar (1996, 2011, 15).
Lesser Known Facts About Narendra Modi in Hindi
Tech and Defence Deals
PM Modi ke is US visit par unhone kai important defence aur tech deals ki hai.
Defence Deals
- General Electric Co. ‘F414’ engine HAL (Hindustan Aeronautics Ltd.) ke sath milkar light-combat aircraft ‘Tejas’ ke liye banayegi.
- Is visit ke dauran PM Modi aur Biden ne ‘MQ-9B’ SeaGuardian drones jo ki US ki company ‘General Atomics’ banati hai, is deal ko aage badhaya gaya.
- American Navy ships Indian shipyards pe repair ho sakengi is chij ko lekar bhi agreement hui hai.
Tech Deals
- Is visit me ki gayi deals me sabse important Semiconductor ki deal hai.
- Micron Technology Inc. India me $800 million (₹6,550 crores) semiconductor assembly aur testing facility ke liye invest karegi, jo ki $2.75 billion (₹2.25 lakh crores) ke future investment ka hissa hai.
- Chip manufacturing company ‘Lam Research’ India me 60,000 engineers ko training degi.
Indian Companies Investments in US
Indian Companies bhi $2 billion (₹1.63 lakh crores) invest karegi. Ye investments Solar manufacturing facility, Steel plant aur Optical fiber facilities pe hogi.
Last Day of Visit
PM aapne is official visit ke last din me American aur Indian CEOs ke sath meeting ki. Is meeting me bohot saare bade naam shamil the. Jaise- Apple ke CEO Tim Cook, Reliance Industries ke MD Mukesh Ambani, Alphabet (Google) ke CEO Sundar Pichai, Microsoft ke CEO Satya Nadela, Chairperson of Mahindra and Mahindra- Anand Mahindra aur bhi kayi bade naam is meeting me shamil the. Is meeting me India aur US ke investment aur business opportunity ko lekat baat hui.