Lesser Known Facts About Narendra Modi in Hindi

Narendra Modi ek aise neta hai jo aksar News me bane rahte hain. Inko chahane aur na chahane wale dono ki ginti kafi badi hai. Narendra Modi desh ke sabse lambe samay tak rehne wale PM hai (jo Congress ke nahi hai). To aaiye jante hain Narendra Modi ke bare me kuch aise facts jo aapko nahi pata honge.

NameNarendra Damodardas Modi
Birth (Janm)17 September 1950, Vadnagar, Bombay State (Gujarat)
WifeJashodaben Chimanlal
BachcheNone
Mata-PitaHeeraben Modi(Mata), Damodardas Mulchand Modi(Pita)
CM2001-14 (13 Saal), Gujarat
PM2014-

Narendra Modi ka Bachpan

  • Narendra Modi jab sirf 8 saal ke the, jab wo RSS (Rashtriya Swayamsevak Sangh)se parichit hue aur unhone RSS ki local shakha jana shuru kar diya.
  • NM bachpan me Army join karke desh ki seva karna chahte the.
  • Bachpan me Modi apne School ki chutti hone ke bad apne pita ke ‘Chai ki Dukaan’ per Hath-Bataya (Helping) karte the jo ki Vadnagar Railway Station, Gujarat me tha.
  • Modi aapne jivan me Swami Vivekananda jii ko aapna Prerak (Inspiration) maante hain.

Teenage (Kishorawastha)

  • Narendra Modi jab lagbhag 17-18 saal ke the tab unki shaadi Yashodaben Chimanlal se hue. Lekin Narendra Modi ne is shaadi ko kabhi nahi mana aur wo Jashodaben se jald hi alag ho gaye.
Jashodaben , narendra modi
credit – Wikimedia Commons
  • Narendra Modi jab 17 saal ke the tab wo apni jindagi ko lekar kafi confuse the. wo nahi jante the ki wo kya karna chahte hain aur kyon. Isliye unhone 17 sal ki umra me apne Mata-Pita ka aashirwad lekar Himalaya ki or chale gaye taki wo khud ko samjh sake. Is safar ki shuruwaat karne se pehle unki Maa ne mithaai dekar aur sar per tilak lagakar unko vida kiya.
  • Modi jab ghar chhodkar gaye tab unko kuch nahi pata tha ki wo kaha jaenge, kya karenge. Lekin unhe is yatra (Journey) se kai jawab mile. Unhone Ramkrishna Mission me apna kuch samay bitaya. Sadhu-Saint se mile aur khud ko janne ki koshish ki.
  • NM jab himalaya mein sadhu logon ke sath rahte the tab unhone bataya ki- wo “Brahma Muhurt” jo ki 3-3:45 ke bich hota hai use waqt uthate the.
Narendra modi in himalaya
credit – youngisthan
  • Narendra Modi ne aapne ek interview me bataya hai ki, jab wo apni 2 saal ki yatra per the tab unhone Swami Vivekanand dwara sthapit (Founded) “Belur Math” jo ki Kolkata ke najdeek hai vahan gaye. Iske baad ‘Advaita Ashram’, Almora aur Ramkrishna Mission, Rajkot gaye. Modi ki 2 saal ke journey ke bare me aur detail me jaane – RepublicWorld
  • NM himalaya se apne 2 saal ki yatra se wapas aaye tab unhone RSS ko 1970’s shuruaat salon me Full Time Pracharak ke roop me join kiya.
  • RSS me hote hue Narendra Modi “Lakshmanrao Inamdar’ jo ki Vakil Sahab ke naam se famous the, unse mile. Aur aage chalkar wo Narendra Modi ke Political mentor bane.

Modi aur unki Education se Sambandhit kuch Facts

  • Narendra Modi ne apni Higher Secondary (11-12) ki padhaai Vadnagar, Gujarat se 1967 me kiya hai. Unke Teachers Modi ke bare mein batate hai ki wo ek “Average Student” the aur bahut accha Debate (Vad-Vivad) karte the. Aur unhe sath-sath Acting ka bhi kafi shauk tha aur wo aksar Natakon (Drama) me hissa liya karte the.
  • 1978, Narendra Modi Political Science me ‘Bachelor of Arts’ (BA) ki degree School of Open Learning (SOL), University of Delhi se li.
  • 1983, 5 saal baad Narendra Modi ne Political Science se ‘Master of Arts’ (MA) ki degree Gujarat University se ki. Aaye dekhte hain Narendra Modi ke kuch Political Facts.

Politics (Raajneeti)

  • Modi ki pahli Political Activity (Gatividhi) 1971 me hui jab vo Atal Bihari Vajpayee ki leadership me Delhi me aayojit Jan Sangh Party (BJP) Satyagrah me shamil hue.
  • June 25 1975 – March 21 1977, Jis waqt Indira Gandhi ne pure Bharat per emergency laga diya tha use waqt RSS ko bhi Ban kar diya gaya tha aur kai Leaders ki girftaariyan (Arrest) ho rahi thi.  Narendra Modi girftari se bachne ke liye ek ‘Sikh’ insan ka roop banaye hue the.
Narendra Modi in emergency
credit – TheEconomicTimes
  • Narendra Modi ne Emergency ke samay ek Book bhi likh dali “Sangharsh Ma Gujarat” (Gujarat ke sangharsh me). Jisme unhone Emergency me ghatne wali ghatnaon ke bare me bataya hai.
sangharsh ma gujarat
credit – Amazon.in
  • Narendra Modi ne BJP ko 1987 me ‘General Secretary of the BJP, Gujarat’ ke taur per join kiya.
  • 2001, Keshubhai Patel (use waqt ke Gujarat ke CM) ka swasthya bigad jaane ke karan aur unke CM rahte hue un per aarop lage ki unhone Corruption (bhrashtachar), Power ka durupyog aur Kharab Tarike se sarkar chalaya hai. Aur sabse jaruri Bhuj, Gujarat 2001 me aaya Earthquake (bhukamp) ko sahi se na sambhal pane ke karan 3 october 2001- Narendra Modi ko Gujarat ka CM bana diya gaya.
Narendra Modi 2002, Gujarat
credit – TheIndianExpress
  • 2008 ki Mumbai Terrorist Attack ke bad Gujarat Sarkar ne 30 High Speed Boat ko apne Samundri Seema ki suraksha ke liye deploy (tainat) kar diya.
  • Narendra Modi 2001 se 2014 matlab ki 13 salon tak Gujarat ke CM rahe hain, Aur is bich Gujarat ne lagbhag har sal 10% ke Average se Economic Growth hasil ki hai.

Controversy (Vivad)

Narendra Modi, Gujarat riots
  • Narendra Modi ke jivan ki sabse badi Controversy (vivad) unke 2002 ke ‘Gujarat Riots’ (dangon) me unke kisi role ko lekar hai. Lekin SIT (Special Investigation Team) aur Supreme Court ke dwara unko is chij ke liye “Clean Chit” mil gai hai. Jiska matlab hai Narendra Modi ka is chij me koi gunah nahi hai.
  • Gujarat Riots me unke shamil hone ke shak ke karan ‘State Department’, US ne Modi ko US me aane per ban laga diya tha aur ye ban Narendra Modi ke 2014 me PM banne ke bad hata diya aur unko Washington DC bhi bulaya. Facts about Gujarat Titans in Hindi

PM Modi

  • 2014 ke Loksabha election me BJP ko 282 seats mili. Jo ki is party ko 1984 ke bad pahli aisi party banati hai jisne Bahumat hasil kiya ho.
  • Narendra Modi ki leadership me 2019 ke Loksabha Chunav me BJP ko pahle se aur bhi jyada ‘303 seats’ mile.

FAQs

Narendra Modi salary?

Narendra Modi ko har saal lagbhag, ₹19,90000 milti hai.

Narendra Modi’s Mother Name?

Heeraben Modi.

when narendra modi became cm of gujarat?

3 october 2001.

when narendra modi mother expired?

30 December 2022.

To ye the hamare desh ke PM Shri Narendra Damodardas Modi ke bare me kuch Amazing Facts. Agar aapko ye Artical pasand aaya ho to ise apni family ke sath jarur share kare.