Surprising Facts About New Parliament House in Hindi

Parliament House (Sansad Bhavan) ek aisi jagah jaha hamare Desh aur Deshvasiyon se jude kanoon bante hain. Hamare desh ko kaise aage badhana hai in chijo per charcha hoti hai. To aaiye jante hai hamare naye Parliament House se jude kuch surprising Facts jo aapko Bharat ka nagrik hone ke naate jarur janne chahiye.

Naye Parliament House Ki Shuruwaat

Nayi Parliament House banane ki mang 2010 ki shuruaati salo me hui thi. Iska karan yah tha ki Building kafi jyada purani ho gai thi aur surakshit nahi thi.

Us waqt ke House Speaker ‘Meira Kumar’ ke dwara 2012 me ek committee banai gai, jo ki is Building ke naye Alternative (Vikalp) dhundh rahe the.

Purana Parliament House saal 1927 me bankar taiyar hua tha aur isko banne me 6 saal ka samay laga tha (1921-1927). Jiska matlab hai ki purani building lagbhag 100 saal ki hai.

Foundation Stone

Saal 2019 me Indian Government ne ‘Central Vista Redevelopment Project’ ki shuruaat ki aur naya Sansad Bhavan isi project ka ek part hai.

10 December,2020 ko PM Narendra Modi ne naye Sansad Bhavan ka Foundation Stone (Neev) rakha.

Central Vista Project

central vista project
credit – TheWire

Central Vista Project ke Under (antargat) banne wale Naye Parliament ke alava bhi kai aur chije banai jaayengi. Jaise – Kartavya Path ko aur achcha banana, Vice-President ke rahane ke liye naya ghar, Prime Minister ke liye naya ghar aur office, sabhi Ministerial Building ko Central Secretariat ke under lana.

Lesser Known Facts About Narendra Modi in Hindi

Bimal Patel

New Parliament House ke Architect ‘Bimal Patel’ hain aur inhone hi is Building ko Triangle Shape me rakha hai. Aap is YouTube Video se isko Triangle Shape me rakhne ke reason samajh sakte hain.

YouTube Video

Bimal Patel wahi hai jinhone ‘Kashi Vishwanath Corridor’ per bhi kaam kiya hai.

bimal patel
credit – TOI

Nayi Parliament Se Judi Kuch Vishesh Baten

28 May,2023 ko New Parliament House ka udghatan (Inauguration) PM Narendra Modi dwara kiya gaya.

new parliament house
credit – CentralVista

Hamare naye Sansad Bhavan ko banane ki lagat ₹862 crore hai.

Loksabha hamare desh ke Rashtriya-pakshi (National Bird) Mor (Peacock) se inspired hai aur Rajyasabha hamare Rashtriya-phool Kamal (Lotus) se Inspired hai.

New Parliament House Earthquake (Bhukamp) Proof hai.

Hamara naya Parliament House sabhi prakar ke naye Technology se sampurn hai. Har member ke seat ke samne Digital Screen aur Audio sunne ki khas suvidha hai. Aur kafi had tak chijon ko Paperless rakhne ki koshish ki gayi hai.

Is naye Building ko Tata Projects Limited ne banaya hai.

Hamare naye Parliament ki sabse acchi chijo me se ek ye hai ki Saansad kisi ki baat ko India ke 22 official bhasha (Languages) me sun aur samjha sakenge.

Naye Parliament me Bharat ki Ancient (prachin) history ka bhi kai jagahon per mention hai.

indian map and chanakya

Hamara yah new Parliament House ko banane me sirf 2.5 saa ka samay laga hai.

Is Building ko is tarah banaya gaya hai ki isme 30% kam bijali kharch hogi.

Naye Sansad Bhavan ka nirman Bharat ke agle 150 saal ki jarurat ko dhyan me rakhte hue kiya gaya hai.

Is naye Building me Loksabha ke 888 aur Rajyasabha ke 384 seats hai aur joint session ke time total 1272 members ko host kar sakta hai.

Naye Parliament House me 3 main entrance (pravesh) hai jiska naam Gyan Dwar, Shakti Dwar aur Karm Dwar hai.

Amazing Facts About Gujarat Titans in Hindi

SENGOL

Naye Parliament ke Loksabha chamber me ‘Chola Dynasty’ se inspired “Sengol” ko bhi rakha gaya hai.

Chola Dynasty ke samay ek raja jab dusre raja ko Transfer of Power karte the, tab is tarah ke Sengol ko Transfer of Power ke roop me dete the.

Azadi se theek pehle ‘Mountbatten’ ne desh ke 1st PM Jawaharlal Nehru ko Sengol transfer of power ke roop me diya tha.

Sengol ke sabse upar Nandi jii ki pratima hai jo ki “Shakti, Satya aur Nyaay” ke pratik hai.

sengol

Shri Vumiddi Ethiraju ne Sengol ko banaya hai.

Sengol shabd Tamil bhasha (Language) ke 2 shabdon ko milakar banta hai. Cemmai – Prosperity (samriddhi), Kol – Rod (chad-iron stick)

Boycott

Bahut sare Opposition Party ne naye Parliament House ka inauguration ceremony attend nahi kiya. Aur iske piche ka reason ye tha ki– unke mutabik hamare desh ke PM ko nahi President ko ye inauguration karna chahiye tha.


To ye the kuch Amazing baten jo aapko naye Parliament House ke bare me jarur janna chahiye. Agar aapko is Artical se kuch naya sikhne ko mila ho to Ise aapne Family WhatsApp group per jarur share kare.

FAQs

New parliament house architect?

Bimal Patel

New parliament house cost?

₹862 crore

What is the name of the new Parliament House?

Sansad Bhavan.


Posted

in

,

by

Tags: