Sudhir Chaudhary is a well-known name in the world of Indian journalism. We have all watched his DNA (Daily News Analysis) show where he shares his views on important issues related to our country. As a journalist, news anchor, and editor, Sudhir has been working in this field since 1993, and these days he is quite popular on social media. The reason behind his viral popularity is not just his news but also some profound thoughts related to life. In today’s article ‘Sudhir Chaudhary Quotes and Shayari‘, we will explore some of his excellent quotes and lines that are gaining a lot of traction on the internet.
Sudhir Chaudhary Motivational Quotes and Lines
1. Jo zindagi shesh bachi hai, use hi vishesh banaiye.
Kyuki baad me to sab avshesh hona hi hai.
2. Jinhe gunoo ke pehchan nahi hai unki prashansha se dare.
Aur jinhe gunoo ki pehchan hai unke maun se daare.
3. Koyle aur manushya ki jalan tab tak shant nahi hoti jab tak vo khud jalkar rakh nahi ho jaate.
4. Chanakya ne ek baar kaha tha – Dost par aankh band kar vishwas na kare aur na hi gupt baat bataye.
Swarth me ya rishta bigadne par yahi dost dushman se bhi khatarnak hota hai.
5. Jab aapko harane ke liye log mehnat aur prayas karne ke bajaye, aapki peeth-peeche saajish aur shadayantra karne lage.
To samajh ligiye aapke varsho ki mehnat safal hui.
6. Tevar aur jewar ye sambhal kar rakhne waali chije hai, baat-baat par logon ko dikhaya nahi karte.
7. Kabhi apni taqat par ghamand na kare. Kyuki prakriti ka ek niyam hai ki- har kamjor ko ek taqat deti hai aur har taqatwar ko ek kamjori.
8. Rang chhodte kapde aur rang badalte log, inhe jitni jaldi ho sake apni zindagi ki almari se bahar nikal digiye.
9. Zindagi ki pariksha isliye bhi kathin hai kyuki iske sabhi prashn aniwarya hote hai aur iska question paper bhi leak nahi hota.
Sudhir Chaudhary Shayaris
10. Apne swabhav ko hamesha surya ki tarah rakhna sikhe. Jise na ugne ka abhimaan hai aur na dubne ka dar.
11. Aaj ke jamane me paisa ek aisa sabun hai jo har tarah ke daag saaf kar deta hai.
12. Kaun kehta hai khushiyan baatne se badhti hai. Ab jamana ye hai ki khushiyan baat do to dushman badh jaate hai.
13. Bohot samay pada hai, yahi vehem sabse bada hai. Isliye is vehem se jald se jald bahar nikaliye.
14. Kabhi-kabhi vyakti ko samjhane ke liye ungli tedhi karna avashyak ho jaata hai. Vinamrata shaktishali vyakti ka aabhushan hota hai, lakin kayi baar apna dar dikhana bhi jaroori ho jaata hai.
Kyunki log vinamrata ko aapki kamjori maanne lagte hai.
15. Kabhi ghamand na kare kyuki tutne se pehle gullak ko bhi yahi lagta hai ki saare paise usi ke hain.
16. Aaj kal mahila aarakshan ki badi charcha ho rahi hai. Lakin kadvi sachchai ye hai ki aaj bhi hamare desh me pita ki ijjat ko betiyan sambhalti hai aur pita ki sampatti ko bete sambhalte hai.
17. Aaj ke jamane me har kisi ko darraron me jhankne ki aadat hai. Lakin agar aap darwaja khol denge to koi puchne bhi nahi aayega.
18. Zindagi me rishte aise banaiye ki dusre ko jhuth bolne ki aur aapko sach janne ki jaroorat hi na pade.
19. Zindgi ki pitch par dhyaan se kheliye. Kyuki aapke sabse karib khade log hi aksar aapki stumping karte hai.
Motivational Quotes and Lines from Sudhir Chaudhary
20. Zindgi ko samajhna bohot hi mushkil hai. Kyuki koi sapno ki khatir apno se dur rehta hai aur koi apno ki khatir sapno se dur rehta hai.
21. Gulab ka phool dene waala to February mahine tak hi chalta hai. Lakin umra bhar aapke sath wohi vyakti chal sakta hai jo har roj hara dhaniya bhi laakar de.
22. Chaata aur dimag tabhi kaam karte hai jab wo khule ho. Kyuki band hone par dono hi bojh lagte hai.
23. Ye kitni ajeeb baat hai ki ham sab jeevan me khush rehne ke liye pareshan rehte hai.
24. Waqt ki ek bohot aachi aadat hai, jaisa bhi ho gujar jaata hai. Kisi ke sath bhi aur kisi ke baad bhi.
25. Kisi ko dar hai ki ishwar dekh raha hai aur kisi ko bharosa hai ki ishwar dekh raha hai. Dono me kitna fark hai.
26. Jinhe khwab dekhna aacha lagta hai unhe raat choti lagti hai aur jinhe khwab pure karna aacha lagta hai unhe din choti lagti hai.
27. Zindgi me tota nahi baaz baniye. Kyuki tota bolta to bohot hai lakin udta bohot kam hai.
Jabki baaz hamesha shant rehta hai lakin aasman chune ki taqat rakhta hai.
28. Nasehat wo sachchai hai jise hum kabhi gaur se nahi sunte aur taarif wo dhokha hai jise hum pure dhyaan se sunte hai.
29. Man aur makaan ko waqt-waqt par saaf karte rehna chahiye. Kyuki makaan me bematlab ka saaman aur man me bematlab ki galatfehmiyan bhar jaati hai.
Isliye man me bharkar nahi balki man bharkar jiye.
Sudhir Chaudhary Motivational Quotes
30. Jaise har raaste par kuch-na-kuch pareshaani hoti hai waise hi har pareshaani se nikalne ka bhi koi-na-koi raasta jaroor hota hai.
31. Agar aap sahi samay ka intezar kar rahe hai, to hamesha yaad rakhiye sahi samay kabhi nahi aata. Jo samay chal raha hai aapko usi ko sahi banana padta hai.
32. Aaj ki pidhi ikkatha karne ke liye jee rahi hai lakin purani pidhi ikkatha rehne ke liye jee rahi thi.
33. Insan kitna bhi ameer kyu na ban jaaye taklif bech nahi sakta aur sukun kharid nahi sakta.
34. Jeevan ek kalam yaani pen ki tarah hai, isse pehle ki iski syahi khatam ho jaaye aap apni kahani likh digiye.
35. Log jab puchte hai ki aap kitna paisa kamate hai to asal me wo ye hisab laga rahe hote hai ki aapko kitni ijjat deni hai.
36. Sahi faisle lena anubhav se aata hai. Aur anubhav kaise aata hai, anubhav galat faisle lene se aata hai. Isiliye zindagi me faisle lene se dariye mat.
37. Insan ghata aur munafa dekhkar siddhanto ka dhong karta hai. Chai me makkhi gire to chai phekta hai aur ghee me gire to makkhi girta hai.
38. Manushya kitna lobhi hota hai. Boondi ke laddu use deta hai jo use salam karta hai aur kaaju ki barfi use deta hai jise wo salam karta hai.
39. Agar aapka koi dushman nahi hai to uska matlab hai aap un mauko par bhi khamosh rahe jaha bolna bohot jaroori tha.
40. Aisa kaha jaata hai duniya ki sabse badi currency dollar nahi hai, rupees nahi hai, property nahi hai. Sabse badi currency hota hai vishwas.
Shayaris by Sudhir Chaudhary
41. Sabse bada daani kanjoos vyakti hota hai kyuki wo apni saari daulat dusro ke liye chor kar chala jaata hai.
42. Khushi paiso par nahi balki paristhitiyon par nirbhar karti hai. Ek baccha gubbara kharid kar khush tha to dusra baccha use bech kar.
Powerful Lines and Quotes
43. Aapki manjil chahe kitni bhi dur ya unchi kyu na ho, raasta hamesha aapke pairo ke neeche hi hota hai.
44. Bina koshish ke aap sirf niche gir sakte hai, uper kabhi nahi uth sakte. Yahi guruvakarshan yani gravity ka niyam hai aur yahi niyam jeevan ka bhi hai. Isiliye koshish karte rahiye.
45. Jeevan milna ye bhagya par nirbhar hai, mrityu aana samay par nirbhar hai lakin mrityu ke baad bhi logon ke dilo me bane rehna ye aapke karmo par nirbhar hai.
46. Aapke sahi hone ka matalab hamesha ye nahi hai hai ki saamne wala galat hai. Ho sakta hai jo aapko 6 najar aa raha ho wo samne waale ke liye 9 ho.
47. Sui chalti hai to shareer dhakne ke liye poshak banati hai. Isiliye hamesha yaad rakhiye har chubhne wali chij ka maksad bura nahi hota.
48. Swaad aur vivad dono ko chor dena chahiye. Kyuki swaad chorenge to shareer ko fayda hoga aur vivad chorenge to rishton ko fayda hoga.
49. Har kisi ke andar apni taqat aur kamjori hoti hai. Machli jungle me daud nahi sakti aur sher paani me raja nahi ban sakta.
50. Vigyaan kehta hai ki jeebh par lagi choot sabse jaldi thik hoti hai lakin gyaan kehta hai ki jeebh se lagi choot kabhi thik nahi hoti.
Must Read – Shailesh Lodha Shayari: 14 Most Famous and Beautiful Poems
Conclusion
Sudhir Chaudhary holds a significant name in the world of journalism, and the way his poetry and profound words are going viral on social media, it would not be wrong to say that he is now being counted among India’s eminent poets. If you liked this article ‘Sudhir Chaudhary Quotes‘, do share it in your friends and family WhatsApp groups so that they too can learn about these excellent lines.