Sunil Chhetri and SAFF Championship in Hindi

Sunil Chhetri ek aise sports person jinki fitness aur discipline ke karan pure desh ke yuva (youth) inko aapna idol maante hain. Ye kitne aache football player hain, is baat ka andaja aap isi baat se paga sakte hain ki- jab baat international goals ki aati hai tab ye duniya ke 3rd number ke player hain. Chhetri 92 international goals ke sath sirf Ronaldo (123 goals) aur Messi (103 goals) se piche hain. To aaiye padhte hain ‘Sunil Chhetri and SAFF Championship in Hindi’.

Abhi Sunil Chhetri ki charcha aur bhi jyada tez ho gayi hai kyuki Bharat ne 2023 SAFF (South Asian Football Federation) Championship ko jeeta hai.

Introduction

  • Sunil Chhetri ka janm ‘Secunderabad, Andhra Pradesh’ me 3 August, 1984 ko hua tha.
  • Inke parents ka naam KB Chhetri (father), aur Sushila Chhetri (mother) hai.
  • Chhetri ne saal 2017 me aapni girlfriend Sonam Bhattacharya se shaadi ki thi. Aur Sunil Chhetri ne announce kiya hai ki unki wife pregnant hain.

Football Career

  • Sunil Chhetri ne aapna professional football career saal 2002 me ‘Mohun Bagan Athletic Club’ club se shuru kiya tha.
  • Chhetri ground par forward position par khelte hain.
  • Chhetri ‘Indian Super League Bangaluru’ aur Indian National Team ke Captain hain.
  • Sunil Chhetri 92 goals ke sath duniya ke 3rd highest active International Goal Scorer hain. Unse aage bas Messi (103 goals) aur Ronaldo (123 goals) hain.
  • Ye apne game me itne extraordinary hain ki inko ‘Kansas City Wizards (Sporting Kansas City)’ jo ki American men’s professional football club hai, is club ne Chhetri ko saal 2010 me sign kiya tha. International football me is subcontinent se jaane wale Chhetri sirf 3 players me se ek hai.
  • 12 June, 2005. Sunil Chhetri ne apne senior Indian National Football Team ke debut match me apna pehla goal Pakistan ke khilaf kiya tha.

Inke football career ko aur detail me jaane ke liye is ‘Wikipedia Article’ ko padhe.

Awards

  • Sunil Chhetri ko unke game me aache performance aur contribution (yogdaan) ke karan unko Bharat ke kayi important aur prestigious (pratishthit) awards se sammanit kiya gaya hai. Jaise- Arjuna Award (2011), Padma Shri (2019), Khel Ratna Award (2021).
sunil chhetri getting padma shri
credit- GuwahatiTimes
  • AIFF (All India Football Federation) ne inko 7 baar ‘Player of the Year’ se sammanit kiya hai (2007, 2011, 2013, 2014, 2017, 2018, 2021).
  • FPAI (Football Players Association of India) ne inko 3 baar ‘Player of the Year’ se sammanit kiya hai (2009, 2018, 2019).
  • SAFF (South Asian Football Federation) ne inko 4 baar ‘Player of the Tournament’ diya hai (2011, 2015, 2021, 2023).
  • SAFF Championship ke ye 3 baar top scorer reh chuke hain (2011, 2021, 2023).

Aur bhi bohot se Awards is great player “Sunil Chhetri” ko mil chuke hain.

Some Other Facts about Sunil Chhetri

  • Sunil Chhetri ke father ‘K.R. Chhetri’ aur mother ‘Sushila Chhetri’ dono bhi football players the. Sunil ke mata ji Nepal ki taraf se football khel chuki hain, aur unke pitaji Indian Army ki taraf se football khel chuke hain.
sunil chhetri's parents
credit- Instagram/chetri_sunil11
  • Sunil Chhetri ka June 2018 ka ek twitter video internet par kaafi viral hua tha. Jisme wo apne fans ko stadium aakar football match dekhne ki appeal kar rahe the.
  • Chhetri ka ye interview aapko jaroor dekhna chahiye jisme unhone Indian football team ke future ki baat ki thi.

SAFF Championship (South Asian Football Federation)

saff logo
credit- Wikipedia
  • SAFF Championship ko saal 1993 me found kiya gaya tha.
  • Ye championship har 2 saal me hoti hai.
  • SAFF ko Afghanistan ne saal 2005 me join kiya aur saal 2015 me chodd diya tha.
  • SAFF Championship ki 1st tournament ko host karne wala desh Pakistan tha.
  • India ne SAFF Championship ko total 9 baar jeeta hai (1993, 1997, 1999, 2005, 2009, 2011, 2015, 2021, 2023), jo ki is championship me sabse jyada hai.

Must Read Virat Kohli Facts | Net Worth | Records and more in Hindi

  • Maldives ne is championship ko 2 baar jeeta hai.
  • Bangladesh, Afghanistan aur Srilanka ne is tournament ko 1-1 baar jeeta hai.
  • 2023 ke SAFF Championship me Sunil Chhetri top goal scorer the (5 goals).

Posted

in

, ,

by

Tags: