Ham sabhi ko films dekhna bohot pasand hai. Aur ho bhi kyu na jab is list me bataye gaye films jaisi story aur acting ho. In films ke low budget hone ke bawajood bhi apne aache story aur acting ke karan low budget high profitable Indian Films ban gaye. To aaiye padhte hai ‘Top 9 Low Budget ‘Box office banger’ Indian Films’.
No One Killed Jessica – 2011
Ye kahani ek journalist (patrakar) ki hai jo ki ek murdered Model ki behen ke sath milkar uski behen ko justice dilana chahti hain.
Director – Raj Kumar Gupta ,Producer – Ronnie Screwvala ,Starring – Vidya Balan, Rani Mukerji ,Genre – Murder mystery ,Story – Raj Kumar Gupta ,OTT – Netflix
Budget- ₹9 crore, Box-office- ₹45.72 crore
IMDb – 7.2/10
Stree – 2018
Bohot hi aachi aur majedaar Horror-comedy story ke karan ye film aapko bohot entertain karegi. Is film me ek lady bhoot (chudail) Chanderi sheher me mardo ko aakela milte hi gayab kar rahi hai aur piche sirf unke kapde chor rahi hai. Aur wo waisa kyu kar rahi hai ye janne ke liye aapko is film ko jaroor dekhna chahiye.
Director – Amar Kaushik, Producer – Dinesh Vijan, Starring – Shraddha Kapoor, Rajkumar Rao, Pankaj Tripathi , Genre – Horror-comedy ,Story – Raj Nidimoru, Krishna D.K., Sumit Arora , OTT – Jio Cinema
Budget- ₹14 crore, Box-office- ₹180 crore
IMDb – 7.5/10
Andhadhun – 2018
Is film ki story ek blind (jo dekh nahi sakte) aadmi ke uper hai. Is film me aapko ‘Galat samay par galat jagah hone’ ka bohot bada example milega.
Director – Sriram Raghavan, Producer – Sudhanshu Vats, Ajit Andhare, Gaurav Nanda, Ashok Vasodia, Kewal Garg, Sanjay Routray, Starring – Tabu, Ayushmann Khuranna, Radhika Apte, Genre – Black comedy, crime, thriller, Story – Sriram Raghavan, Hemanth M. Rao, Pooja Ladha Surti, Arijit Biswas, Yogesh Chandekar, OTT – Jio Cinema, Netflix
Budget- ₹32 crore, Box-office- ₹456 crore
IMDb – 8.2/10
The Tashkent Files – 2019
Ye film hamare 2nd Prime Minister Shri Lal Bahadur Shastri ke mysterious death ke uper based hai. Kya unki maut natural thi ya hatya (assassination)?
Director – Vivek Agnihotri, Producer – Vivek Agnihotri, Starring – Mithun Chakraborty, Naseeruddin Shah, Shweta Basu Prasad , Genre – Thriller, Story – Vivek Agnihotri , OTT – Zee5
Budget- ₹4 crore, Box-office- ₹20.84 crore
IMDb – 8.1/10
The Kerala Story – 2023
Ye film Shalini Unnikrishnan/Fatima Ba ke story telling par aadharit hai. Ki Kerala ki Hindu aur Christian ladkiyo ko kaise manipulate karke Islam me convert karaya jaata hai phir dusre countries le jaya jaata hai.
Director – Sudipto sen, Producer – Vipul Amrutlal Shah, Starring – Adah Sharma, Yogita Bihani, Sonia Balani, Siddhi Idnani, Genre – Inspired by True Events, Drama, Story – Suryapal Singh, Sudipto Sen, Vipul Amrutlal Shah, OTT – Zee5
Budget- ₹15-20 crore, Box-office- ₹303 crore
IMDb – 7.3/10
Kahaani – 2012
Is film me ek pregnant lady apne missing husband (pati) ko dhundhne ke liye London se Kolkata aati hai. Lakin wo jisse bhi aapne husband ke baare me puchti hai wo sab log mana karte hain. To kya hua hai unke pati ke sath?
Director – Sujoy Ghosh, Producer – Sujoy Ghosh, Kushal Kantilal Gada, Starring – Vidya Balan, Parambrata Chatterjee, Nawazuddin Siddiqui, Genre – Thriller, Story – Sujoy Ghosh, Advaita Kala, OTT – Jio Cinema, Prime Video
Budget- ₹8 crore, Box-office- ₹104 crore
IMDb – 8.1/10
The Kashmir Files – 2022
Is film ko dekhkar aap bohot se emotions ko feel karenge. Aapko pure film ke dauran gusaa, rona, daya aur thodi sharmindgi bhi mehsus hogi ki hamare desh ke ek kone me ye sab bhi hua tha. Ye film Kashmir me kasmiri pandits par hue jurm aur palayan par aadharit hai.
Director – Vivek Agnihotri, Producer – Tej Narayan Agarwal, Abhishek Agarwal, Pallavi Joshi, Vivek Agnihotri, Starring – Mithun Chakraborty, Anupam Kher, Darshan Kumar, Pallavi Joshi, Genre – Inspired by True Events, Drama, Story – Vivek Agnihotri, Saurabh M. Pandey, OTT – Zee5
Budget- ₹15-25 crore, Box-office- ₹340 crore
IMDb – 8.7/10
Also Read- Adipurush Honest Review in Hindi
Kantara – 2022
Is film ki jitni tareef ki jaye kam hai. Iski story aur acting bohot aachi hai. Is film me aapko lalach, dhokha aur bohot badhiya actions wale scenes milenge. Film ki main story ye hai ki- ek young tribal apne purvajo (ancestors) ke tradition ko apnata hai taki wo justice (insaf) pa sake.
Director – Rishab Shetty, Producer – Vijay Kiragandur, Starring – Rishab Shetty, Sapthami Gowda, Kishore, Achyuth Kumar, Genre – Action thriller, Story – Rishab Shetty, OTT – Netflix
Budget- ₹16 crore, Box-office- ₹400-450 crore
IMDb – 8.3/10
Secret Superstar – 2017
Kaise ek ladki apne father (pita) ke rokne-tokne ke bawajood apne talent ke karan YouTube ki madad se viral ho jaati hai. Phir uske aage ki kahaani ko janne ke liye is film ko jaroor dekhen.
Director – Advait Chandan, Producer – Aamir Khan, Kiran Rao, Nittin Keni, Akash Chawla, Starring – Zaira Wasim, Aamir Khan, Meher Vij, Raj Arjun, Genre – Musical drama, Story – Advait Chandan, OTT – Netflix
Budget- ₹15 crore, Box-office- ₹858 crore
IMDb – 7.8/10
To ye thi un films ki list jo aapne chote budget hone ke bawajood apni story aur acting ke karan kamai ke naye records bana diye. Is article ko aapke movie lover friends aur family ke sath jaroor share kare.
Disclaimer all Budget and Box-office collections taken from Wikipedia