Vijay Mallya, Nirav Modi, Mehul Choksi ye kuch aise famous naam hai jinhone Banks se fraud kar desh se bahar chale gaye hain. To aaiye jante hai India ke top scammers ke bare me.
Nirav Deepak Modi (₹11000 crores)
Nirav Deepak Modi, inka janm Palanpur, Gujarat me 27 February 1971 ko hua tha. Inke company ka naam ‘Firestar Diamond’ hai. Jo ki world class aur bahut famous jewellery brand thi. Jisko Nirav Modi ne 1999 mein sthapit (found) kiya tha. Inki company ki lokpriyata aur acche kam ka andaaja aap isi baat se laga sakte hain ki 88 Academy Awards (Oscar) me actress ‘Kate Winslet’ ne inhi ke company ki Jewellery pahni thi.
February 2018 ko PNB (Punjab National Bank) ki complaint karne per CBI (Central Bureau of Investigation) ne Nirav Modi ke khilaf jaanch shuru ki. Complaint ke mutabik Nirav Modi aur unke kuch sathiyon ne sajish karke PNB se ₹11000 crores ki dhokha-dhadi ki thi.
Phir usi saal 2018 ke April me aisi khabre aayi jisme kaha gaya ki wo Hong Kong bhag gaye hai. Lekin phir June 2018 me aise reports aayi jisme kaha gaya ki Nirav Modi UK chale gaye hai aur unhone vahan Asylum ke liye apply kiya hai.
Unke UK me hone ki baat tab pakki ho gai jab ‘The Telegraph’ news ne ye claim kiya ki Nirav Modi UK me hi hai. Abhi ke samay me wo London ke Wandsworth Prison (jail) me hai.
Jatin Mehta (₹7000 crores)
Jatin Mehta aur Nirav Modi dono ka janm Palanpur, Gujarat me hua hai.
Mehta ki company ka naam ‘Winsome Diamonds’ hai.
Inki family Diamond industry mein 1960 ke dashak se hai.
Mehta ne year 1985 me Su-Raj Diamonds Limited naam ki company shuru ki.
Jab ye Su-Raj Diamonds ko chala rahe the us waqt inko bahut awards mile. Jaise Diamentaire of the year aur iske sath hi inko desh ke sabse bade cut and polished diamonds ke exporter ke roop me bhi pahchan mili.
2000 ki shuruaati dashak me Jatin Mehta apni company Winsome Diamonds ke through diamond export karna shuru kar chuke the.
Mehta ka business tha ki wo bahar se gold manga kar uske jewellery banakar UAE me apne customers ko export kar dete the.
Business Model
Mehta jewellery banane ke liye gold ko kai International Bullion Banks (bullion banks un banks ko kaha jata hai jo gold-silver jaisi chijo me trading karti hai) se loan ke basis per gold kharidte the fir us gold ki finishing karke jewellery banate the fir us jewellery ko UAE me apne 13 distributor customers ko bech dete the. Phir us kamaye hue paise se bullion bank ke loans de diye jaate the.
Bullion Banks se loan lene ke liye Jatin Mehta ne kai Indian Banks ko ‘Standby Letter of Credit (SLC)’ ke liye approach kiya. Jiske badle me Indian banks ko achcha-khasa commission milta tha. Aur kai saalo tak ye chije sahi se chali lekin sal 2013 me Winsome Diamonds ne apna loan default kar diya, yaani wo loan samay per nahi chuka paye. Aur ye khabar Indian banks ke liye bahut bada jhataka jinhone Winsome Diamonds ko Standby Letter of Credit (SLC) provide kiya tha. Jiska matlab tha ki Indian banks- PNB, Central Bank of India aur bhi kai banks ko ye loans us International bullion banks ko chukana pada. Aur ye amount lagbhag ₹7000 crores tha.
Aap is Video se bullion banks ke baare me detail me jan sakte ho.
Indian banks dwara kiye gaye investigation me pata chala ki Winsome Diamonds ke UAE me 13 customera fake the jinko sirf ek aadmi dwara manage kiya ja raha tha. Ab Indian banks ko saaf ho gaya ki unke sath fraud ho chuka hai. Aur CBI ke investigation me Jatin Mehta ko wilful defaulter (paisa hote hue bhi loans nahi chukana) ghoshit kar diya gaya.
Saal 2013 me Jatin Mehta aur unka pura parivar Caribbean Sea ke pass basa hua ‘St Kitts and Nevis’ naam ke ek chote se desh me chale gaye aur ab tak vahi hai.
Lalit Modi (IPL Controversy)
Lalit ka janm 29 November 1963 ko Delhi me hua. Yahi wo vyakti hain jinka idea tha IPL ko shuru karne ka. Inka IPL ka proposal saal 1995 me hi reject kar diya gaya tha. To aaiye dekhte hai Lalit Modi ne kaise IPL ko shuru aur fir fraud kiya.
Inka IPL ka proposal BCCI ne pahli bar me bina koi bhav diye Reject kar diya tha. Jisse inko samajh me aa gaya ki pahle BCCI ke head members me shamil hona hoga.
Controversy
2009 ke IPL ke matches ke liye South Africa Cricket Board ko galat tarike se paise me her-fer ka aarop hai aur FEMA (Foreign Exchange Management Act) ka kanoon todne ka bhi.
The Kochi franchise ne Lalit Modi per ye aarop lagaya ki Lalit ne is franchise ko dhamkaya tha. Kyunki Lalit chahte the yah franchise unke sage-sambandhi ko mile.
IPL
US me American sports league ki kamai ko dekhkar bahut impress hue. Isse inspired hokar Lalit Modi ne BCCI ke samne 50 overs ke tournament karane ka idea rakha jisko BCCI ne bilkul bhi serious nahi liya.
Jisse Lalit Modi ko samajh me aa gaya ki pahle inko BCCI ke top committee me aana hoga tabhi yah IPL ko shuru karva payenge. Aur isi raste me aage badhte hue unhone 1999 me elect hokar Himachal Pradesh Cricket Association join kar liya.
Modi 2005 me BCCI ke V. President bane phir finally 2008 me IPL ko T20 ke form me start kar diya. Aur phir 3 saalo tak IPL successfully chalaya bhi.
2010 ke IPL khatam hote hi Lalit Modi ko BCCI ne suspend kar diya. Aur unpar ye aarop the- Misconduct (galat tarike se kam karna), Indisciplin (anushasan hinta), Financial irregularities (paise me her fer karna).
2010 me Lalit Modi bhag kar London chale gaye. Iske bad inko Bharat me bhagoda ghoshit kar diya gaya.
BCCI ke investigation me Lalit Modi ko doshi paya gaya fir inko 2013 me pure zindgi ke liye ban kar diya gaya.
Amazing Facts About Gujarat Titans in Hindi
Vijay Mallya (₹9000 crores)
Vijay Mallya ka janm 18 December 1955 ko Kolkata shahar me Vittal Mallya ke ghar per hua. Jo ki us waqt United Breweries Group ke chairman the.
Mallya ki Shuruwaat
Vittal Mallya ke death ke bad Vijay Mallya United breweries group ke chairman year 1983 me apne 28 saal ke age me bane.
Vijay Mallya ke company join karte hi unhone United breweries group ko aur bhi jyada successful banaya. Mallya ki ‘Kingfisher’ India ke beer market me sabse jyada bikane wali beers me se ek hai.
Politics
Vijay Mallya politics me bhi kafi active rahe hain. Wo Karnataka se 2 baar MP reh chuke hai. Pehli baar 2002 me Janata dal aur Congress ki help se aur, Dusri bar 2010 me Janta dal aur BJP ki help se. (Phir 2 May 2016 ko Vijay Malya ne Rajyasabha ke MP post se resign kar diya.
Fraud
Vijay Mallya per Fraud, Money Laundering jaise kai gambhir aarop lage hain. Jis vajah se unko UK police ne saal 2017 me arrest bhi kiya tha. Phir unko thode samay baad bail per release bhi kar diya tha.
Vijay Mallya per total ₹9000 crore ke fraud ka case hai. Jisme Vijay Mallya dwara 17 Indian banks ke sath fraud karne ki baat samne aayi hai. Jisme kai banks jaise- SBI, Bank of Baroda, Corporation bank, Federal bank, IDBI bank jaise kai aur banks shamil hain.
Vijay Mallya ne Kingfisher Airlines ke liye bahut sare loans liye aur fir unhone un loans ko default karna shuru kar diya. Ek taraf to unke pass Kingfisher Airlins ke staff ko salary dene ke liye paise nahi the dusri taraf wo ekadam kharchili (expensive) aur luxurious parties kiya karte the.
Left India
2 march 2016 ko Vijay Mallya ne India ye keh kar chhod diya ki- wo apne bacchon ke kareeb rahana chahte hain. Phir wo UK chale gaye aur aaj tak wapas nahi aaye.
Mehul Chinubhai Choksi (₹13500 crore)
Mehul Chinubhai Choksi ka janm 5 May 1959 ko Mumbai shahar me hua. Choksi ne apna carrier Gems aur Jewellery sector mein 1975 me shuru kiya aur 1985 me Gitanjali Gems (jo ki Gitanjali group ka hissa thi) ki leadership apne father se khud ke hathon me liya.
Aarop
March 2018 me PMLA (Prevention of Money Laundering Act) court ne Mehul Choksi, Nirav Modi aur Neeshal Deepak Modi ke khilaf non bailable arrest warrant jari kiya. Jisme un per aarop tha ki unhone PNB (Punjab National Bank) ke do employee ke sath milkar $1.8 billion (₹13500 crore) ka fraud kiya hai PNB ke Mumbai branch se.
Left India
7 January 2018 ko Mehul Choksi ne India chhod diya aur ‘Antigua and Barbuda’ naam ke desh ki nagrikta le li aur tab se hi Indian authorities koshish kar rahi hai Mehul Choksi ko wapas desh me laane ki.
Kidnapping ya Jhuth?
23 May 2021 ko Mehul Choksi se Antigua and Barbuda se missing paye gaye. Iske bad unko dhundhne ki prakriya shuru ki gai aur ye kaha gaya ki wo Cuba desh chale gaye hain.
Lekin 26 May ko unko boat per Cuba bhagte hue police ne pakad liya. Lekin Mehul Choksi ke vakil (Lawyer) ne ye claim kiya ki unko kidnap kiya gaya tha aur Mehul Choksi ka aisa manna tha ki Indian Authorities aur Antigua police ne unko boat per Dominica lekar gaye.
Iske baad Dominica ne Mehul Choksi par illegal entry ka case kar diya lekin may 2022 me ye case band kar diya gaya.
Mehul Choksi abhi ke samay me Antigua and Barbuda desh me hi hai.
Surprising Facts About New Parliament House in Hindi
FAQs
Wandsworth Prison London.
Vijay Mallya.
Ye un sabse bade aur famous Top Scammers of India jo desh ka paisa lekar bahar chale gaye. To jaisa ki abhi aapane padha Thugs of Hindustan. Agar aapko ye article pasand aaya ho to isko apne dosto aur family ke sath Whatsapp group per jarur share kare.