What is Threads | Threads kya hai?

Threads, internet par abhi sabse trending topic me se ek hai. Social media par har jagah sirf isi ki charcha ho rahi hai. Aur ho bhi kyu na, isko tech giant ‘Meta Platforms (also known as Facebook)’ ne launch kiya hai. To aaiye jaante hain- ‘What is Threads | Threads kya hai?’

Introduction

Threads ko Mark Zuckerberg ki company ‘Meta Platforms’ ne 5 July, 2023 ko launch kiya tha. Isko sidhe taur par Twitter ka competition maana jaa raha hai, kyuki Threads aur Twitter kaafi had tak milte-julte hain.

Threads vs Twitter

mark vs elon
credit- Marca.com

Ye app itna similar hai twitter se ki isko Twitter ka killer maana jaa raha hai. Kyuki Threads aapne users ko bohot si chijo me Twitter se aacha experience deta hai, jaise-

threads vs twitter

Meta ne ye confirm kiya hai ki is platform par aap 500-character me likh sakte ho, aur Twitter par ye limit unverified users ke liye 280-character hai.

Is app par aap 5 minute ki video daal sakte ho, lakin Twitter par ye limit unverified users ke liye 2 minute 20 seconds hai.

Haal hi me Twitter ne apne non blue (unverified) users ke posts dekhne ko restrict karke 1000 posts aur naye unverified users ke liye aur bhi jyada kam ‘sirf 500 posts’ har-din kar diya hai. Threads par abhi ke liye aisi koi restrictions nahi hai.

Threads popularity

Iske launch hone ke sirf 7 ghante baad hi iske 10 million (1 crore) users ho gaye the.

Mark Zuckerberg ke mutabik, apne launch ke 1 din me hi iske 30 million (3 crore) users ho gaye the.

Mark Zuckerberg threads
credit- Threads/Zuck

Disadvantages of Threads

Privacy

Jaha Meta/Facebook ki baat aaye aur users ko apne privacy ki chinta na ho aisa kaise ho sakta hai! Aur ye app bhi is chij me kuch alag nahi hai.

Apple ke app store par official listing ke according Meta’s Threads bohot si information ko collect kar raha hai. Jaise- Health, fitness, finances, contacts, browsing history, usage, location, search history aur bhi kayi sensitive data.

News Source

Others

Abhi ke samay me agar aapko iske account ko permanently delete karna hai to ye chij bina aapke Threads se linked Instagram account ko delete kiye nai ho sakta. Aap bas iske account ko deactivate kar sakte ho.

Agar aapne twitter use kiya ho to aapko pata hoga ki twitter par aap trending chijo ko dekh sakte ho. Lakin abhi ke liye Threads par aisa koi option nahi hai.

Must Read – Everything about ChatGPT in Hindi


Aisa nahi hai ki is app ki tarah Twitter ko takkar dene ke liye isse pehle apps launch nahi hue, ek to hamara Indian app ‘Koo’ bhi hai. Magar twitter ko in apps ne kuch khas effect nahi hua. Lakin is baar situation kaafi alag hai, kyuki ‘Meta’ jaisi badi company ne ise launch kiya hai. Dekhte hain aage kya hota hai.

Is article ko apne friends ke sath jaroor share kare taaki unko bhi is nayi chij ke baare me pata chal sake.