Exploring Business in Bollywood Movies and Web-series in Hindi

Bollywood movies jo ki jyadatar apne love stories, extraordinary actions aur melodrama jaisi films banane ke liye jaani jaati hai, is film industry me bohot jyada business ya entrepreneur related films nahi banti. In topics par kam films banane ka trend duniya ke lagbhag saare film industries me dekha jaata hai. Iske piche ka ek reason ye ho sakta hai ki is business genre ke films ki audience kam ho sakti hai.

To aaiye jaante hai bollywood me bani kuch business aur entrepreneur related films aur web series ke baare me, jinse aap entertain hone ke sath-sath business ke baare me sikh bhi sakte ho.

Movies

1. Baazaar – 2018

Ye film ek young stock trader ke rise (uucha uthne) par based hai. Is movie me laalach, ambition aur khud ke sahi-galat soch me confusion ko dikhaya gaya hai.

baazaar movie poster

IMDb – 6.5

2. The Big Bull – 2021

Stock broker ‘Harshad Mehta’ par based is film se aapko unke tezi se badhne ka karan samajh aayega. Is tezi se badhne ke piche kaise unhone Indian banking system ke loopholes ka sahara liya, is chij ko The Big Bull movie me kaafi aache se darshaya gaya hai.

the big bull movie poster

IMDb – 5.7

3. Rocket Singh – 2009

Rocket Singh: Salesman of the Year movie poster

IMDb – 7.5

4. Badmaash Company – 2010

Is film se aap kya karne se jyada kya nahi karna hai is baare me sikh sakte ho.

Kuch dost milkar ek successful counterfeit (bilkul asli jaisa lagne wala nakli product) business chalate hai aur kaafi aachi zindgi bita rahe hote hai. Unki ye majedaar zindgi tab khatre me pad jaati hai jab unki illegal activities saamne aane lagti hai.

Badmaash Company me dosti, ambition aur galat kaam karne ke natijo ko darshaya gaya ha.

badmaash company film poster

IMDb – 6.1

5. Band Baaja Baaraat – 2010

Romantic, comedy film Band Baaja Baaraat se aap kaafi kuch sikh sakte ho. Is film me 2 logon ki kahaani ko darshaya gaya hai jo ki sath milkar ‘Wedding Planning’ ka business karte hai.

Unke bich chije tab kharab hone lagti hai jab dono ek-dusre ke liye feelings catch karne lagte hai.

band baaja baaraat film poster

IMDb – 6.6

6. Corporate – 2006

Is film se aap corporate world me hone wali kathor (ruthless) chijo ke baare me jaan sakte ho.

Corporate film me ‘corporate world’ me hone waali politics, laalach, manipulation aur cost of success ke baare me dikhaya gaya hai.

corporate movie poster

IMDb – 6.6

7. Guru – 2007

Ye movie Dhirubhai Ambani jaise visionary businessman par based hai. Is film me kaafi aache se unki zindgi aur business me aayi mushkile aur un mushkilo se ladkar aage badhne ki darshaya gaya hai.

guru film poster

IMDb – 7.7

8. Made In China – 2019

Made in China movie ek struggling businessman par aadharit hai jo ki aphrodisiacs product bechkar successful entrepreneur ban jaata hai.

made in china movie poster

IMDb – 6.3

Also Read – Lord Krishna Quotes: 21 Quotes that Will Change Your Perspective

Web Series

1. TVF Pitchers

TVF Pitchers web series 4 dosto par based hai. Jo apne jobs ko chodkar startup ke raaste par chal padte hai.

Entrepreneur world ke raaste par chalne ke baad unko kaafi mushkilo ka saamna karna padta hai. Iske sath-sath unhe apni dosti aur khud ke baare me bhi kayi chije pata chalti hai.

2 Seasons

TVF Pitchers web series poster

IMDb – 9.1

2. Scam 1992 – 2020

Sabse famous web series me se ek Scam 1992 stock broker ‘Harshad Mehta’ ke rise and fall par based hai. Is web series me India ki sabse badi financial scams me se ek ko darshaya gaya hai.

1 Season

scam 1992 web series poster

IMDb – 9.3

3. TVF Cubicles

Ek young professional jo ki corporate office me kaam karta hai, uske daily life ke challenges ko is web series me darshaya gaya hai.

2 Seasons

TVF Cubicles web series poster

IMDb – 8.2

4. Bad Boy Billionaires – 2020

Bad Boy Billionaires ek documentary web series hai jo ki India ke bade-bade scams karne wale logon par based hai.

Ye web series business karne ke unethical side ko kaafi aache tarike se portrait karti hai.

1 Season

Bad Boy Billionaires web series poster

IMDb – 7.9

FAQs

Which is the best bollywood Business related Movies and Web-series?

Guru, TVF Pitchers, Baazaar, Rocket Singh, Bad Boy Billionaires etc.

Conclusion

To ye the business aur entrepreneur par based kuch amazing aur interesting movies and web-series in hindi.

Aisa nahi hai ki is article me mention kiye gaye chijo ke aalawa business-entrepreneur par based kuch aur films aur web series nahi hai. Lakin is article me mentioned chijo ko dekhkar aap lagbhag saari chije samajh jaoge.

Is article ‘Exploring Business in Bollywood Movies and Web-series in Hindi’ ko apne entrepreneur mindset wale dosto ke saath jaroor share kare.