Lord Jagannath, inka naam sanskrit ke 2 shabd ‘jagat’ yani ki Universe (brahmand) aur ‘natha’ matlab Lord (bhagwan) ko milakar bana hai. Jiska matlab hai ki “Pure Brahmand Ke Bhagwan” (Lord of the Universe). To aaiye padhte hain Interesting Facts about Lord Jagannath in Hindi.
Bhagwan Jagannath
Name | Lord Jagannath |
Avatar | Lord Krishna’s |
Meaning of Name | Lord of the Universe |
Sibling | bhai Balabhadra, behen Subhadra |
- Lord Jagannath aakele aise bhagwan hain jinki palke (eyelids) nahi hain.
- Rath Yatra aapne aap me bhi bohot khas hai. Kyunki ye aakela aisa festival hai jisme khud bhagwan bahar nikalte hain aapne bhakto se milne ke liye.
- Aapne ‘4 Dham’ ki yatra ke baare me jaroor suna hoga to Shastron (Religious Books) ke anusar Jagannath Puri dham 4 dhamo me sabse important hai.
- Jagannath ji bhagwan ‘Shri Krishna’ ke avatar hain.
- Hamare pyaare Jagannath ji ka sabse pasandida bhojan (food) khichdi hai.
Aap is video me iske piche ka reason ko jan sakte hain.
Rath Yatra
Bhagwan Jagannath ke rath ka naam ‘Nandighosha’ hai.
Inke bhai Balabhadra
Balabhadra ji ke rath ka naam ‘Taladhwaja’ hai.
Inki behen Maharani Subhadra
Subhadra ji ke rath ka naam ‘Devadalana’ hai.
- Lord Jagannath ke rath ko banane ke liye total ‘832’ lakdiyo (woods) ke tukro ka use kiya jata hai.
- Jagannath ji ke rath me total 16 chakke (wheels) hote hain.
- Lord Jagannath ke rath ko jis rassi (rope) se khicha jata hai wo koi mamuli rassi nahi hoti, uska bhi naam hai. Us rassi ko ‘Shankahchuda’ kehte hain.
- Inke rath me 4 ghode (horses) hote hain. Jinka naam- Shankha, Balahaka, Shweta, Haridashwa aur in sabhi ghodo ka rang safed (white) hota hai.
- Lord Jagannath ke total 108 naam hain. Aap is website me jakar unke saare naam aur uske matlab ko jaan sakte ho. Devshoppe
- Lord Jagannath ke rath ko Lord Indra dwara arpit matlab ki unko diya gaya hai.
- Har saal Jagannath ji, Balarama ji aur Subhadra ji ke rath ko naya-naya banaya jaata hai. Akshaya Tritiya me rath ko banane ki prakriya shuru hoti hai aur har saal rath yatra se pehle banakar taiyar kar liya jata hai.
- Nineteenth Century me jab angrejo (Britishers) ne bhagwan Jagannath ki rath yatra dekhi to unke pass is bhawna aur seen ko darshane ke liye shabd nahi the. Tab unhone Dictionary me ek naya shabd add kiya ‘Juggernaut‘.
- Bhagwan Jagannath mandir, Puri pichle 800 saalo se bhi jyada samay se virajman hai.
Lesser Known Facts about Prabhas in Hindi
Rath Yatra in Foreign Countries
Rath Yatra in New York, USA
Rath Yatra in Rome, Italy
Rath Yatra in Paris, France
Rath Yatra in Moscow, Russia
To ye the Lord Jagannath ji ke baare me kuch Interesting facts. Is article ko aapne mata-pita aur family groups me jaroor share kare.
Leave a Reply