Lesser Known Facts about Prabhas in Hindi

Prabhas ek aise actor hain jinko aaj pure desh me jana aur pasand kiya jata hai. Unki film series ‘Baahubali’ ne kai Box Office ke kamai ke records tod diye. Aur unki sabse nayi Film Adipurush bhi release ho gayi hai. To aaiye jaante hain Lesser Known Facts about Prabhas in Hindi.

NameUppalapati Venkata Suryanarayana Prabhas Raju
Age43 (2023)
Birth23 October 1979, Madras (Chennai)
No. of FilmsApprox 23 (included cameos)
ParentsUppalapati Surya Narayana Raj, Siva Kumari
Net Worth ₹237 crores
Height 6′ 1″ – 6′ 2″
Salary₹100-150 crores (per film

Introduction

  • Prabhas ka janm 23 October 1979 ko Madras (Chennai) me hua.
  • Inke fans inko ‘Darling Prabhas’ ke naam se bhi pukarte hain. Aur inka pura naam ‘Uppalapati Venkata Suryanarayana Prabhas Raju’ hai.
  • Prabhas aapne bachpan se hi filmy vatawaran (surrounding) me the. Kyuki inke pita (father) ‘Uppalapati Surya Narayana Raju’ film producer aur inke chacha (uncle) ‘Uppalapati Venkata Krishnam Raju’ ek actor aur politician the.
  • Inki maa ka naam ‘Siva Kumari’ hai.
  • Prabhas ke 1 bhai Prabodh aur 1 behen Pragathi hai. Aur Prabhas in sab me sabse chote hain.

Filmy Career

  • Prabhas ne aapni filmy career ki shuruwaat 2002 ke Telugu film ‘Eeswar’ se ki thi.
eeswar prabhas
Credit- Eeswar
  • Inki pehli film bohot aachi kamai to nahi kar payi lakin inke acting ki tareef kafi hue thi.
  • Prabhas ke fans unke acting skills ke karan South, India me to the hi. Lakin Baahubali movie ke release hone ke baad unki fan following pure desh me faill gayi.

Baahubali era

  • Baahubali film ki kahani jab Prabhas ko batai gayi tab wo is film ko lekar itne exited aur confident the ki unhone 4 saalo tak koi aur film sign nahi ki.
  • Reports ki maane to jis waqt Baahubali ki shooting chal rahi thi us waqt Prabhas ne ₹5 crore se bhi jyada ki ek Ad shoot ko mana kar diya tha kyuki wo sirf Baahubali film par hi focus karna chahte the.
  • Prabhas ne Baahubali film par jitni mehnat ki thi unko uska result bhi mila. Baahubali film series ne kamai ke bohot saare records tod diye.

Great Human Being

  • Prabhas bohot aache actor hone ke sath-sath bohot aache insan bhi hai. Ye har saal bohot sara paisa Charitable trusts ko donate karte hain.
  • Prabhas in sab donations ko bohot secretly (gupt) tarike se karte hain kyuki unka manna hai – ‘hame ye sab karke dikhawa nahi karna chahiye’.
  • Prabhas ne 1650 acres Khazipally, near Hyderabad me Reserve Forest ko bhi adopt kiya hai aur aapne father ke naam se eco-park ke development ke liye donation diya hai.
prabhas khazipally forest
credit- HindustanTimes

Facts about Sushant Singh Rajput

Some Other Facts about ‘Darling Prabhas’

  • Prabhas ki film Baahubali 2: The Conclusion (2017) bharat ki pehli aisi film bani jisne ₹1000 crores ki kamai ki thi.
baahubali 2
Credit- Baahubali 2
  • Rajinikanth, Chiranjeevi, Pawan Kalyan jaise bade-bade actors ko piche chorte hue Prabhas aise 1st Telugu actor bane jinka Wax Statue ‘Madame Tussaud’s wax museum’ me hai.

Prabhas kitne calm aur gentle hai aap is Interview se samajh sakte ho

  • Prabhas aakele aise South Indian actor hai jo ki 2019 me ‘Eastern Eyes’ magazine me published “Top 10 Sexiest Asian men” me maujud the.
  • Prabhas ki latest film ‘Adipurush’ ko uske VFX (Visual Effects) ke liye kaafi criticise kiya ja raha hai. Lakin is sabke bawajood bhi film ne 2 din me ₹240 crores ka business kiya hai.
adipurush poster

(Adipurush film ka review aap is Article me padh sakte hain)


To ye the hamare superstar Prabhas ke bare me kuch jaroori facts. Aap is article ko dosto aur WhatsApp groups par jaroor share kare.