Aaj ke is teji se badalte duniya me khud ko updated aur har din behtar banana option nahin jaruri ban gaya hai. Aap aaj ke samay me jitna khud ko nayi-nayi chije sikhaoge, aap khud ko utna hi aur aage badhate jaoge. Aur ye aage badhne ki prakriya aapke jivan ke har field me hogi. Chahe wo Office, College, Ghar, Relationship kuch bhi ho aap pehle se khud ko aur aache position per paoge. Ye to ho gaye Sansarik chijon ki baat, aap jab khud pe kasm karoge to ‘Spiritual’ level per bhi bahut kamyab banoge. Isliye aapko khud per kaam jarur karna chahiye. To aaiye ab main aapko un best YouTube Channels for Self-Improvement ke baare me batane jaa raha hu jisse maine bhi bohot kuch sikha hai.
Ranveer Allahbadia
Jab baat Podcasts ki aati hai to ye aapko kabhi niraash nahi karenge. Inke Channel Ranveer Allahabad pe aapko dheron aise Podcasts milenge jo kisi gyan ke bhandar se kam nahi hai. Is Channel me aapko har field ke guests milenge chahe wo Cricketer, Business Person, Historians (Itihaskaar), Actor-Actress ya aur bhi aise bahut se log aate hain jo ki inke Channel per dher sara gyan Share karte hain. Ye apne Channel per Podcast ke alava Personality Development per bhi videos banate hain.
Inka ek dusra YouTube Channel bhi hai “BeerBiceps” ke naam se jahan ye English me Podcasts aur baki tarah ki Videos Share karte hain.
The Formal Edit (Karron S Dhinggra)
Self Improvement karna hai apne Personality ke jariye to ye Channel aapki bahut madad karega. Is Channel per aapko Personality Development, Communication Skills, Health aur bhi dher sari chijon ke bare mein bahut kuch sikhne ko milega. Is Channel ke Videos ki ek sabse acchi baat ye hai ki- ye apne Videos me aapko kisi bhi chij ko batate waqt bahut majakiya tarike se batate hain jisse sikhne me aur bhi jyada maja aata hai.
Josh Talks
Agar aapko kahaniyon ke roop mein kisi chij ko sikhna aacha lagta hai to ye Channel aapke liye hi hai. Is Channel per aapko aise Videos milenge jisme log apne jivan ki sacchi baton ko kafi acche aur aasan tarike me batate hain jisse unke dwara batai gai chijon ko samajhna aur bhi jyada aasan ho jata hai. Is Channel ki sabse aachi baat ye hai ki ismei aapko Famous logon sath-sath “Aam Insan” ko bhi apni baat batane ka mauka dete hain.
Seeken | GIGL | Yebook
Kya aapko Books ka shauk hai lekin kisi karan se aap itna samay nahi nikal paate jisme aap Books padh sake? To ye 3 Channels aapke liye hi hai aap in Channels per bahut sari tarah-tarah ke kitabon ki Summaries dekh sakte hain jo ki kuch Minutes me aapko us Book ki important jankari de denge. Ye bahut aacha tarika hai kam samay me jyada sikh kar Self-Improvement karne ka. In Channels ki ek bahut aachi baat ye hai ki ye apne Videos me bahut aache Animations se aapko Book ke bare me batate hain wo bhi bahut aache udaharan (Example) ke sath jisse samajhne me aasani aur maja dono aata hai.
Aapko agar waise chijo ke bare me janna hai jisme aapko paise nahi bachane chiye to aapko ye Article jaroor padhna chahiye.
Raj Shamani
Raj Shamani un naamon me se hain jinhone apne umra (Age28) se bahut jyada Achieve kar liya hai aur Future me aur bhi karenge. Inke kuch Achievements ki baat kare to inhone UN (United Nation), Ted Talks, Jaguar, Land Rover, TCS aur Reliance jaise jagaho me Speech diya hai aur Raj Shamani Forbes Magazine ki Cover me bhi aa chuke hain.
Raj Shamani apne YouTube Channel per bahut acchi quality wale Podcasts dalte hain, lekin inke jyadatar Podcasts English me hote hain. Tab bhi aapko inke Videos dekhne chahiye jisse aap kuch naya to sikhenge hi sath-sath aapki English bhi aachi hogi.
Raj Shamani ki likhi Book “Build, Don’t Talk” meri sabse pasandida Books me se ek hai.
Dhruv Rathee
Agar aapko Trending Topics ke bare me ekadam Detail me janna hai to aap inke Videos dekh kar apne Knowledge ko updated rakh sakte ho. Inke Videos ki sabse acchi baat hi yahi hai ki ye bahut Detail ke sath kisi video ko banate hain. Aapko inki Political soch pasand ho ya nahi lekin baki topics per inki Videos aapko jarur pasand aaenge.
Shwetabh Gangwar
Shwetabh Gangwar ek aise YouTube hain jinka jindagi ko dekhne ka najariya bahut alag aur kafi bold hota hai. Ye aise Videos banate hai jisse aap sahmat (Agree) ho ya nahi lekin aapko ek bohot ‘Bold Najariya’ mil jata hai us chij ko lekar. Fir aap bahut si chijon ko alag-alag tarike se dekh paoge. Inki bahut aachi baat ye hai ki- Aapne Videos me is tarah se baat karte hain jaise ye aapke dost ho aur aap is wajah se jyada Relate kar pate ho.
Ankur Warikoo
Inke Videos ke bare me jitni tarif ki jaaye utni kam hai. Inke Videos me aapko Investing, Books, Productivity, Life Lessons se related Topics per bahut aache-aache Videos milenge. Ankur jii ke YouTube Videos me aapko har wo Information milegi jisse aap Self-Development kar sakte ho. Inke Videos ki sabse khas baat ye hai ki aap bahut mushkil chijo ko bhi aasan bhasha mein samajh sakte ho.
Khan Sir | Nitish Rajput | World Affairs
Jaisa ki aap ab tak samajh hi chuke ho ki Self-Improvement karna kitna jyada jaruri hai aur uske liye aapko Trending Topics ke bare me thodi-bahut jankari honi chahiye. Is chij me ye 3 Channels aapki kafi jyada help karenge. In teenon Channels me aapko ekadam aasan bhasha mein jankari milegi jisse aapko kisi chij ko samajhne mein mushkil nahi hogi.
Khan Sir Nitish Rajput World Affairs
Must Read – 16 Best Self-Improvement Movies to Watch in Hindi
Sandeep Maheshwari
Inko kaun nahi jaanta inka Channel duniya ke sabse bade Motivational YouTube Channels me se ek hai. Ye apne Channel per Practical tarike se samjhate hue kisi problem ke bare mein baat karte hain. Jo ki hamare jindagi me aksar aane wale Problems hote hain. Agar aapko jindagi ki problems ko suljhane ka rasta majak-masti ke roop mein chahiye to aapko inke Video jarur dekhne chahiye. Jisse aap apne najriye ko aur bhi jyada faila sakte ho.
Jeet Selal | Yash Anand | FitMuscle TV
Aaj ke samay me Fitness, Aachi Body sab ko chahiye. Sabko ekadam Healthy rahana hai. Agar aapko bhi Fit, Healthy aur aachi Body chahiye to aap in logon ke Channels ke videos dekh sakte ho. Ye apne Channels per aapko Gym mein sahi tarike se exercise kaise karni hai, Sahi Diet kaun si hai, Khud ko Discipline me kaise rakhna hai is tarah ki chijen batate hain. Ye apne Videos ko kafi simple aur satik (Accurate) rakhte hai. Jise dekhne me aur bhi jyada maja aata hai. Aachi aur swasth (Healthy) Body aapke Self Development aur Personality ka pillar hoti hai. Isliye aapko hamesha apne khane-peene ko Healthy rakhna chahiye jisse aapki body bhi Healthy rahegi.
Jeet Selal FitMuscle TV Yash Anand
Sadhguru Hindi
Jagdish Vasudev, Jaggi ya Sadhguru aap inko kisi bhi naam se bula sakte ho. Aapko inke Channel per Adhyatm “Spirituality” se related dheron aisi videos milegi jo ki aapko jindagi ko aur bhi acchi tarah se samajhne me madad karegi. Inke videos ko dekhkar aap Problems ko kafi Positive tarike se handle karna sikh jaaoge jo aapko Stress Free rehne me madad karegi.
UNFILTERED by Samdish
Agar aapko Politics me ruchi hai to ye Channel bilkul aapke liye hi hai. Is Channel me aapko Political Party ke logon ke Interviews milenge wo bhi bahut majakiya tarike se. Inke Channel ki sabse aachi baat ye hai ki inke Videos me aapko bahut Comedy milegi wo bhi inke Guests ke sath. Chahe wo Chhattisgarh ke CM ho ya BJP ke Manoj Tiwari, inhone sab ki tang-khinchi hai jise dekhkar aapko jankari milane ke sath-sath kafi maja bhi aaega.
FAQs
Iska sidha sa matlab yahi hai ki Aapko khud ko sudharne aur aage badhane me kiya jane wala kaam Self-Improvement kehlata hai.
1. Mansik (Mentally), 2. Sharirik (Body Related), 3. Bhawnatmak (Emotional)
Aakhiri Ke Shabd
To ye the wo YouTube Channels jinki madad se aap khud ko aur behtar bana sakte ho. YouTube ek bahut bada Platform hai jaha isi tarah ke dher sare Channels hain aapko bas in Channels se sikhne ki shuruaat karni hai apne Self-Improvement journey ki, or se journey se aap aise aur channels ko dhundh payenge. To jaisa ki abhi aapne padha Top 13 YouTube channels for Self-Improvement per Artical. Agar aapko is Artical se kuch bhi sikhne ko mila ho to ise apne doston ke sath jarur Share kare. Thank You.