Interesting Facts about Lord Jagannath in Hindi

Lord Jagannath, inka naam sanskrit ke 2 shabd ‘jagat’ yani ki Universe (brahmand) aur ‘natha’ matlab Lord (bhagwan) ko milakar bana hai. Jiska matlab hai ki “Pure Brahmand Ke Bhagwan” (Lord of the Universe). To aaiye padhte hain Interesting Facts about Lord Jagannath in Hindi.

Bhagwan Jagannath

NameLord Jagannath
AvatarLord Krishna’s
Meaning of NameLord of the Universe
Siblingbhai Balabhadra, behen Subhadra
  • Lord Jagannath aakele aise bhagwan hain jinki palke (eyelids) nahi hain.
lord jagannat
credit- EditionDigital
  • Rath Yatra aapne aap me bhi bohot khas hai. Kyunki ye aakela aisa festival hai jisme khud bhagwan bahar nikalte hain aapne bhakto se milne ke liye.
  • Aapne ‘4 Dham’ ki yatra ke baare me jaroor suna hoga to Shastron (Religious Books) ke anusar Jagannath Puri dham 4 dhamo me sabse important hai.
  • Jagannath ji bhagwan ‘Shri Krishna’ ke avatar hain.
  • Hamare pyaare Jagannath ji ka sabse pasandida bhojan (food) khichdi hai.

Aap is video me iske piche ka reason ko jan sakte hain.

Rath Yatra

rath yatra in puri, odisha, india
credit- YT/GKD IS LIVE

Bhagwan Jagannath ke rath ka naam ‘Nandighosha’ hai.

Inke bhai Balabhadra

Balabhadra ji ke rath ka naam ‘Taladhwaja’ hai.

Inki behen Maharani Subhadra

Subhadra ji ke rath ka naam ‘Devadalana’ hai.


  • Lord Jagannath ke rath ko banane ke liye total ‘832’ lakdiyo (woods) ke tukro ka use kiya jata hai.
  • Jagannath ji ke rath me total 16 chakke (wheels) hote hain.
  • Lord Jagannath ke rath ko jis rassi (rope) se khicha jata hai wo koi mamuli rassi nahi hoti, uska bhi naam hai. Us rassi ko ‘Shankahchuda’ kehte hain.
  • Inke rath me 4 ghode (horses) hote hain. Jinka naam- Shankha, Balahaka, Shweta, Haridashwa aur in sabhi ghodo ka rang safed (white) hota hai.
  • Lord Jagannath ke total 108 naam hain. Aap is website me jakar unke saare naam aur uske matlab ko jaan sakte ho. Devshoppe
jagannath rath yatra
credit- BoldOutline
  • Lord Jagannath ke rath ko Lord Indra dwara arpit matlab ki unko diya gaya hai.
  • Har saal Jagannath ji, Balarama ji aur Subhadra ji ke rath ko naya-naya banaya jaata hai. Akshaya Tritiya me rath ko banane ki prakriya shuru hoti hai aur har saal rath yatra se pehle banakar taiyar kar liya jata hai.
  • Nineteenth Century me jab angrejo (Britishers) ne bhagwan Jagannath ki rath yatra dekhi to unke pass is bhawna aur seen ko darshane ke liye shabd nahi the. Tab unhone Dictionary me ek naya shabd add kiyaJuggernaut‘.
juggernaut
  • Bhagwan Jagannath mandir, Puri pichle 800 saalo se bhi jyada samay se virajman hai.
jagannath mandir puri, odisha, india
credit- Wikipedia

Lesser Known Facts about Prabhas in Hindi

Rath Yatra in Foreign Countries

Rath Yatra in New York, USA

rath yatrain newyork, usa
credit- YT/NewYorkStreet

Rath Yatra in Rome, Italy

rath yatrain rome, italy
credit- YT/Aadya bindal

Rath Yatra in Paris, France

rath yatra in paris, france
credit- YT/Travel with Titans

Rath Yatra in Moscow, Russia

rath yatra in moscow , russia
credit- YT/Chaturmurti das

To ye the Lord Jagannath ji ke baare me kuch Interesting facts. Is article ko aapne mata-pita aur family groups me jaroor share kare.