Unknown Facts about Yoga in Hindi

Stress, Tention, Negativity se bhari is duniya me Yoga khud ko Mental aur Spiritual level pe khud ko balance karne ka sabse aacha aur behtareen tarika hai. Aur ab to science bhi yoga se hamare shareer ko hone wale faydo (benefits) ko maante hai. To aaiye jante hain Bharat ki duniya ko ek special gift – ‘Yoga’ ke bare me unknown facts in Hindi.

Introduction

  • Yoga shabd Sanskrit ke “Yuj” shabd se aata hai. Jiska matlab hai- Shamil karna (to yoke).
  • Yoga ki shuruwat (according to researchers) India me 5000 saal se bhi jyada pehle hui thi.
ancient yoga
credit- Yoga

Origin of Yoga

  • Hinduism religion ke kayi shastron (religious book) me Yoga aur uske faydo ka mention milta hai. Mahabharat me bhi yoga ki baate ki gayi hain.
  • Lord Shiva ko sabse pehla Yogi mana jaata hai. Isliye inki aap jyadatar pratimao (statues) me yoga karte hue hi dekhoge.
shiva performing yoga
credit- ZeeNews
  • Yoga ke tariko ke baare me sabse pehle ‘Hindu Text (Hindu granth)’ “Rigveda” me likha gaya hai.

Hatha Yoga (Modern yoga)

  • Aaj ke modern duniya me hone wale yoga ko aap ‘Hatha Yoga’ se relate kar sakte ho. Jo ki paramparik (traditional) yoga se thoda alag hai.
  • Generally aap jo dekhte ho- log Aasana (poses) yoga karte hain. Is tarah ke modern yoga ko ‘Hatha Yoga’ kaha jaata hai.
  • Hath Yoga se aapko kai fayde ho sakte hain. Jaise- Physical fitness, stress-relief aur khud ko ko relax karne me madad mil sakti hai.
  • Hath Yoga, paramparik (traditional) Yoga se kafi alag hai. Traditional yoga ka matalab dhyaan karna (meditate) aur duniya se judi hui bhavnao (feelings) se khud ko uper uthana hai.

Benefits of Yoga

Har din yoga karne se aap khud ki Flexibility, Taqat aur aapne ke posture ko thik kar sakte ho. Iske sath-sath aap aapne mental health ko bhi behtar kar sakte ho. Jaise ki mindfulness (jaise ki abhi ke samay me bina dhyaan bhatkaye us samay me mentally present rehna)- jisse aapki clear sochne ki shakti badhegi aur chinta (tension) kam hogi. Jo aapke mental health ko aur bhi behtar bana denge.

Benefits of Yoga (meditation)

Meditation (dhyaan) ke to itne sare fayde hain ki 1 article bas isi chij par likhi jaa sakti hai. Agar short me iske faydo (benefits) ko bataya jaye to- meditate karke aap khud ko aur bhi jyada gehrai se jan sakte ho. Meditation practice aapko mushkil samay me shant (calm) banaye rakhne me madad karta hai aur ye aapke tension, stress, anxiety jaisi dikkato (problems) me bhi kafi shayak (helpful) hai.

Interesting Facts about Lord Jagannath in Hindi

Yoga in West (Swami Vivekananda)

swami vivekananda in usa
  • Aaj ke time pe jo Western world hai, jaise- U.S.A ya Europe. Yaha pe yoga ko failane ka bohot bada credit Swami Vivekananda ko jaata hai. Jinhone saal 1883 me U.S.A me kayi conferences kiye.
  • Swami Vivekananda ne U.S.A me aapne conferences pe Yoga ko ‘Science of the Mind’ kehkar paribhashit (describe) kiya.
  • Unhone Yogic Texts ko Sanskrit se English me translate kiya.
  • Vivekananda ji ne aapne 1993 ke U.S.A visit ke dauran ‘Chicago World’s Fair’ me yoga ko demonstrate (dikhaya) kiya, jisse west me yoga ko lekar kaafi jigyasa (curiosity) badhi.

Some Other Facts about Yoga

  • Yoga Hinduism ke sath-sath Buddhism me bhi kafi mahatwapurna (important) hai.
  • ‘Shri Yogendra Museum of Classical Yoga’- duniya ki pehli aise museum hai jo ki puri tarah se yoga ko prastut (present) karti hai.
  • Aapne yoga se jude bohot sare shabd sune honge jo aapko nahi samajh aaye honge. Aisa isliye kyuki yoga puri tarah se Sanskrit bhasha (language) me hai. Aur Sanskrit duniya ke sabse purani bhasha me se ek hai.
  • International Yoga Day pehli baar 21 June, 2015 ko UN (United Nations) ke declaration ke baad manaya gaya tha.
  • 21 June 2023 ko hamare desh ke PM Narendra Modi ne UN (United Nations) ke headquarters, New York, USA me Yoga celebrations ko lead kiya.
  • Maharishi Patanjali ko ‘The Father of Modern Yoga’ kaha jata hai kyuki, inki likhi kitab ‘Yoga Sutras’ ke karan yoga ko samajhna kafi aasan ho gaya tha.
maharishi patanjali
credit- Vedicmatters

More About Maharishi Patanjali

  • Pure duniya me total 300 million (30 crores) log yoga regular karte hain.

Yoga ke Interesting Statics

FAQs

What is the International Yoga Day 2023 Theme?

Vasundhaiva Kutumbakam, which also represent One World, One Family, One Future.

Where is the International Yoga Day 2023 festival in India?

Rishikesh.

To ye the kuch Interesting aur Unknown Facts about Yoga in Hindi. Is article ko aapne Yogi Friend aur aapne family members ke sath jaroor share kare.